Salasar Mein Jiska,
Aana Jana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya ॥
Ja Ke Darbaar Mein,
Jo Sheesh Jhukate Hain,
Baalaji Dayalu Unhen,
Gale Se Lagate Hain,
Jiska Mere Baba Se,
Yaarana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya ॥
Pyaar Ka Khajana,
Balaji Ka Bharpoor Hai,
Prem Ko Lutaane Mein,
Ye Bade Mashahoor Hai,
Jo Bhi Inse Jaana,
Pahachana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya ॥
Baba Ke Deewane Ki to,
Baat Nirali Hai,
Baba Ki Kripa Se,
Mohan Murali Ki Deewani Hai,
Jinka Unke Charanon Mein,
Thikana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya ॥
Salasar Mein Jiska,
Aana Jaana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya,
Vo Hi Meri Baba Ka,
Deewana Ho Gaya ॥
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our
contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!