Sankat Jab Hum Par Aaye (संकट जब हम पर आए - भजन)


Sankat Jab Hum Par Aaye to,
Shiv Shambhu Tum Aa Jana,
Hum Dukhiyaro Ki Aye Bhole,
Aakar Laaj Bacha Jana ॥
Paas Nahin Hai Paisa Kodi,
Hum Nirdhan Hai Bholenath,
Tum Jo Yadi Chaaho to Shivji,
Ban Sakti Hai Aise Baat,
Sapnon Mein Hi Aakar Ke Tum,
Mukhda Kabhi Dikhla Jana,
Hum Dukhiyaro Ki Aye Bhole,
Aakar Laaj Bacha Jana ॥

Saare Jagat Ke Thukraye Hai,
Hum Sab Gum Ke Maare Hai,
Dukh Ke Badal Chhaye Hue Hai,
Chaaron Taraph Andhiyare Hai,
Rahamat Ki Badli Aakar Ke,
Har Aangan Mein Barsaana,
Hum Dukhiyaro Ki Aye Bhole,
Aakar Laaj Bacha Jana ॥

Tere Alawa Aur Hum Bhole,
Kisse Ja Phariyad Karen,
Kasht Aur Sankat Ki Ghadiyon Mein,
Tujhe Hi Hum to Yaad Karen,
Door Karo Sab Sankat Saare,
Dheeraj Hamen Bandha Jana,
Hum Dukhiyaro Ki Aye Bhole,
Aakar Laaj Bacha Jana ॥

Dwar Khade Hai Daas Tumhare,
Hey Shiv Shambhu Kailashi,
Vinti Inki Sun Lo Bhagwan,
Teri Badi Kripa Hogi
Bas Itni Vinti Hai Bhagwan,
Bhakton Ko Na Bhula Dena,
Hum Dukhiyaro Ki Aye Bhole,
Aakar Laaj Bacha Jana ॥

Sankat Jab Hum Par Aaye to,
Shiv Shambhu Tum Aa Jana,
Hum Dukhiyaro Ki Aye Bhole,
Aakar Laaj Bacha Jana ॥
संकट जब हम पर आए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
संकट जब हम पर आए तो, शिव शंभू तुम आ जाना, हम दुखियारो की ऐ भोले, आकर लाज बचा जाना ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan

Other Popular Sankat Jab Hum Par Aaye Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Prabhu Sweekaro Mere Paranam

Sukh-varan Prabhu, Narayan Hai! Sweekaro Mere Pranaam

Dekh Liya Sansar Hamne Dekh Liya

Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya, Sab Matlab Ke Yaar Humne Dekh Liya |

Kab Darshan Denge Ram Param Hitkari

Kab Darshan Denge Ram Param Hitkari Kab Darshan Denge Ram Din Hitkari, Rasta Dekhat Shabari Ki Umr Gayi Sari

Ek Bar Jo Raghubar Ki Nazron Ka

Ek Baar Jo Raghubar Ki, Najro Ka Ishara Ho Jaye, Teri Lagan Mein Kho Jaoon Main, Duniya Se Kinara Ho Jaye ॥

Mere Ram Itni Kripa Karna Beete Jeevan Tere Charno Me

Mere Ram Itni Kirpa Karna, Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥