Sare Jahan Ke Malik Tera Hi Aasara Hai (सारे जहाँ के मालिक तेरा ही आसरा है: भजन)


Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,
Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai,Hum Kya Batayen Tumko, Sab Kuch Tujhe Khabar Hai,
Har Haal Mein Hamari, Teri Taraph Najar Hai,
Kismat Hai Vo Hamari, Jo Tera Phaisla Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,

Hathon Ko Dua Ki, Khatir Milayen Kaise,
Sajde Mein Tere Aakar, Sar Ko Jhukayen Kaise,
Majburiyan Hamari, Bas Tu Hi Janta Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,

Ro Kar Kate Ya Hans Kar, Katati Hai Jindgani,
Tu Gum De Ya Khushi De, Sab Teri Meherbani,
Teri Khushi Samajhkar, Sab Gum Bhula Diya Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,

Duniya Bana Ke Malik, Jaane Kahan Chhipa Hai,
Aata Nahin Najar Tu, Bas Ik Yahi Gila Hai,
Bheja Is Jahan Mein, Jo Tera Shukriya Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,
Bhaktibharat Lyrics

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai,
Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai,
सारे जहाँ के मालिक तेरा ही आसरा है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सारे जहाँ के मालिक तेरा ही आसरा है, राजी हैं हम उसी में जिस में तेरी रजा है...
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navami BhajanJanaki Jayanti BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanRajan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Bhajan: Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Me

Man Leke Aaya, Mata Rani Ke Bhawan Main, Bada Sukh Paya, Bada Sukh Paya, Mata Rani Ke Bhawan Main

Arji Sunkar Meri Maiya Ghar Mein Mere Aayi

Arji Sunkar Meri Maiya, Ghar Mein Mere Aayi, Jhoom Jhoom Ke Naachoon Main to, Baatoon Aaj Badhai, Naachoon Jhoom Jhoom Ke, Gaoon Jhoom Jhoom Ke ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Daras Ko Pyase Hai Maiya Mere Nain

Daras Ko Pyase Hai, Maiya Mere Nain, Ek Jhalak Dikhlao Bhawani, To Aaye Bhakt Ko Chain, Daras Ko Pyase Hain, Maiya Mere Nain ॥