Sherawali Ki Nazar Jispe Padne Lagi ( शेरावाली की नज़र जिसपे पड़ने लगी: भजन)


Sherawali Ki Nazar Jispe Padne Lagi,
Jispe Padne Lagi,
Dekho Taqdir Uski Sanvarne Lagi,
Sanvarne Lagi ॥
Maa Ke Pavan Navrate Aa Gaye,
Ghar Ghar Mein Jagrate Hone Lage,
Jis Ghar Angana Maa Ki Paavan,
Jyoti Jagi, Haan Ye Jyoti Jagi
Dekho Taqdir Uski Sanvarne Lagi,
Sanvarne Lagi ॥

Aaja Banke Sawali Maa Ke Dwar Pe,
Tera Jivan Sanvar Jaye Maa Ke Naam Se,
Jo Bhi Dar Aaya Gaya Nahi,
Khali Kabhi, Kali Kabhi,
Dekho Taqdir Uski Sanvarne Lagi,
Sanvarne Lagi ॥

Jwala Maa Teri Sab Dukh Haregi,
Chintapurni Maa Teri Saari Chinta Hare,
Sachhe Maan Se Kar Le Jo,
Maiya Ki Bhakti, Maa Ki Bhakti,
Dekho Taqdir Uski Sanvarne Lagi,
Sanvarne Lagi ॥

Ashtami Ka Dekho Wo Din Aa Gaya,
Kanjako Ka Bulava Lagane Laga,
Halwa Puri Ka Bhog Lagao,
Karo Aarti, Karo Aarti,
Dekho Taqdir Uski Sanvarne Lagi,
Sanvarne Lagi ॥

Sherawali Ki Nazar Jispe Padne Lagi,
Jispe Padne Lagi,
Dekho Taqdir Uski Sanvarne Lagi,
Sanvarne Lagi ॥
शेरावाली की नज़र जिसपे पड़ने लगी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
शेरावाली की नज़र जिसपे पड़ने लगी, जिसपे पड़ने लगी, देखो तक़दीर उसकी संवरने लगी, संवरने लगी ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Raja Ram Aaiye Mere Bhojan Ka Bhog Lagaiye

Raja Ram Aaiye, Prabhu Ram Aaiye, Mere Bhojan Ka, Bhog Lagaiye ॥

Jape Ja Tu Bande Subah Aur Sham

Jape Ja Tu Bande, Subhah Aur Shaam, Shree Ram Jay Ram, Jay Jay Ram, Shree Ram Jay Ram, Jay Jay Ram ॥

Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari

Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari, Magar Ye Karega Ashar Dhire Dhire, Ahankar Mad Moh Phela Jo Bhitar, Utaregi Sara Jahar Dhire Dhire, Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari, Magar Ye Karega Ashar Dhire Dhire ॥

Raksha Karo Mere Ram

Raksha Karo Mere Ram, Raksha Karon Mere Ram, Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan, Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan, Poojun Tum Subah Shaam, Raksha Karo Meren Ram, Raksha Karo Meren Ram ॥