Shiv Shankar Tum Kailashpati (शिव शंकर तुम कैलाशपति - भजन)


Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi,
Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥
Mathe Par Chandra Ka Mukut Saja,
Aur Gal Sarpo Ki Mala Hai,
Maa Paravati Bhagavati Gaura,
Tere Vam Ang Mein Saj Rahi,
Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Bramha Ko Ved Diye Tumne,
Ravan Ko Lanka De Dali,
Aughadadani Shiv Bhole Ki,
Shrashti Jayakar Bulaay Rahi,
Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Sona Chandi Hira Moti,
Tumko Kuch Bhi Na Suhata Hai,
Shiv Ling Pe Ja Sari Duniya,
Ek Lota Jal To Chaday Rahi,
Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Jivan Ki Ek Tamanna Hai,
Jivan Main Ek Hi Aasha Hai,
Tere Charonon Main Bite Jivan,
Yahi Aash Maan Main Samay Hai,
Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi,
Shiv Shankar Tum Kailashpati,
Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥
शिव शंकर तुम कैलाशपति - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शिव शंकर तुम कैलाशपति, है शीश पे गंग विराज रही, शिव शंकर तुम कैलाश-पति, है शीश पे गंग विराज रही ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe । Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe ॥

Sherawali k Do Nain Pyare Pyare

Sherawali Ke Do Nain Pyaare Pyaare,Tere Mukut Mein Chamke Sitare, Ab Mujhe Gagan Se Kya Lena, Kya Lena, Sherawali Ke Do Nain Pyaare Pyaare,Tere Mukut Mein Chamke Sitare ॥

Damru Wale Aaja Teri Yaad Sataye

Damaru Wale Aaja, Teri Yaad Sataye, Mera Ye Bharosa, Kahin Tut Na Jaye, Chupa Kahan Aaja Bholanath, Damaru Wale Aaja, Teri Yaad Sataye, Meri Ye Bharosa, Kahin Tut Na Jaye ॥

Anadi Devi Ambike Tumhen Satat Pranam Hai

Anadi Devi Ambike Tumhe Satat Pranaam Hai, Anadi Devi Ambike Tumhe Satat Pranaam Hai, Tumhee Samast Srshti Kee Anaadi Aadi Mool Ho...

Hey Shani Deva Thamo Mera Hath Re

Hey Shani Deva Thamo Mera Hath Re, Dedo Apane Bhatko Ka Tum Saath Re, Hey Shani Deva Thamo Mera Hath Re ॥