Suno Karuna Bhari Ye Pukar (सुनो करुणा भरी ये पुकार - भजन)


Suno Karuna Bhari Ye Pukar,
Dwar Tere Hum Aaye,
Tore Angna Lagi Hai Kataar,
Dwar Tere Hain Aaye ॥
Door Karen Duhkh Sab Logon Ke,
Apni Matarani,
Sheesh Jhukaye Khade Huye Hain,
Dambhi Aru Abhimani,
Paayin Tapse Hai Shakti Apaar,
Dwar Tere Hain Aaye,
Sunon Karuna Bhari Ye Pukar,
Dwar Tere Hum Aaye ॥

Gyani Ko Maan Dikhen Shaarda,
Apradhi Ko Kaali,
Khadg Vaar Se Nishchar Kat-te,
Dharti Chhayi Laali,
Maiyya Rahati Hain Sinh Sawar,
Dwar Tere Hain Aaye,
Sunon Karuna Bhari Ye Pukar,
Dwar Tere Hum Aaye ॥

Laal Chunariya Pyaari Maan Ko,
Dhwaja Nariyal Bhaye,
Kanya Bhoj Mein Maiyya Aateen,
Ved Shastra Batlaye,
Apne Jeevan Ka Karen Uddhar,
Dwar Tere Jo Aaye,
Sunon Karuna Bhari Ye Pukar,
Dwar Tere Hum Aaye ॥

Parvat Parvat Dera Tera,
Durgam Hain Sab Raahen,
Sabme Shastra Ek Se Badhkar,
Teri Aathon Baanhen,
Mahishasur Ka Kiya Sanhar,
Dwar Tere Hain Aaye,
Sunon Karuna Bhari Ye Pukar,
Dwar Tere Hum Aaye ॥

Suno Karuna Bhari Ye Pukar,
Dwar Tere Hum Aaye,
Tore Angna Lagi Hai Kataar,
Dwar Tere Hain Aaye ॥
सुनो करुणा भरी ये पुकार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
सुनो करुणा भरी ये पुकार, द्वार तेरे हम आये, तोरे अंगना लगी है कतार, द्वार तेरे हैं आये ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular Suno Karuna Bhari Ye Pukar Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mehandipur Ka Ye Bajrang Bala Bada

Mehandipur Ka Ye Bajarang Bala Bada, Isake Dar Se Na Koi Bhi Khali Gaya, Jo Aaya Muraden Mili Hai Use,
Isake Dar Se Na Koi Sawali Gaya, Mehandipur Ka Ye Bajarang Bala Bada ॥

Bolo Sada Jaikar Pawansut Mahabali Ki

Bolo Sada Jaykara, Pabansut Mahabali Ki ॥

Veer Bajrangbali Mujhe Tera Hi Sahara Hai

Veer Bajarangabali, Mujhe Tera Sahara Hai, Maa Anjani Ke Laal, Tune Laakhon Ko Tara Hai, Veer Bajarangabali, Mujhe Tera Sahara Hai ॥

Hai Diwane Jo Pyare Hanuman Ke

Hai Diwane Jo Pyare Hanuman Ke, Hai diwane Jo Pyare Hanuman Ke, Wahi Bolenge Jai Jai Jai Siyaram, Wahi Bolenge Jai Jai Jai Siyaram, Hai Diwane Jo Pyare Hanuman Ke ॥

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...