Swikar Hame Karle Ham Dukhdo Ke Maare Hai (स्वीकार हमें करले, हम दुखड़ो के मारे है - भजन)


Sweekar Humen Karle,
Hum Dukhdo Ke Maare Hai,
Tu Kah De Kahan Jayen,
Bas Tere Sahare Hai,
Sweekar Hume Karle,
Hum Dukhdo Ke Maare Hai ॥
Jo Dar Pe Gaya Tere,
Sammaan Diya Toone,
Bin Bole Kashton Ko,
Pahchan Liya Tune,
Pahchan Liya Tune,
Tu Antaryami Hai,
Hum Murakh Saare Hai,
Tu Kah De Kahan Jayen,
Bas Tere Sahare Hai,
Sweekar Hume Karle,
Hum Dukhdo Ke Maare Hai ॥

Dhan Daulat Ki Humko,
Parvaah Nahin Daata,
Charnon Ki Dhul Mile,
Bas Chaah Yahi Baba,
Bas Chaah Yahi Baba,
Dar Se Na Thukrana,
Teri Aankh Ke Tare Hai,
Tu Kah De Kahan Jayen,
Bas Tere Sahare Hai,
Sweekar Hume Karle,
Hum Dukhdo Ke Maare Hai ॥

Jis or Nazar Pheroon,
Bas Tu Hi Nazar Aaye,
Ab Chhod Ke Dar Tera,
Ye ‘harsh’ Kidhar Jaye,
Ye ‘harsh’ Kidhar Jaye,
Aa Humko Maafi De,
Hum Paapi Saare Hai,
Tu Kah De Kahan Jayen,
Bas Tere Sahare Hai,
Sweekar Hume Karle,
Hum Dukhdo Ke Maare Hai ॥

Sweekar Humen Karle,
Hum Dukhdo Ke Maare Hai,
Tu Kah De Kahan Jayen,
Bas Tere Sahare Hai,
Sweekar Hume Karle,
Hum Dukhdo Ke Maare Hai ॥
स्वीकार हमें करले, हम दुखड़ो के मारे है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
स्वीकार हमें करले, हम दुखड़ो के मारे है, तू कह दे कहाँ जाएं, बस तेरे सहारे है, स्वीकार हमे करले, हम दुखड़ो के मारे है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare