Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude (उड़े उड़े बजरंगबली, जब उड़े उड़े - भजन)


Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude,
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude,
Hanuman Ude Udte Hi Gaye,
Sab Dekh Rahe Hai, Khade Re Khade,
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude ॥
O Pahli Baar Ude Bachapan Mein,
Sooraj Munh Mein Dabaye,
Haahaakar Macha Tribhuvan Mein,
Sur Nar Sab Ghabraye,
Indra Dev Jab Krodhit Hokar,
Apna Vajr Chalaye,
Pawan Dev Jab Kupit Huye,
Sab Bajrang Inhe Banaye,
Bajrang Inhe Banaye,
Vinti Karne Dar Pe Ude Pawan Ke,
Aake Sur Nar Sab Hi Jude,
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude ॥

Dooji Baar Ude to Phande,
Ye Vikraal Samandar,
Ram Naam Le Karke Kude,
Gadh Lanka Ke Andar,
Phook Diye Sone Ki Lanka,
Maare Veer Dhurandhar,
Kaam Dekh Bajrangbali Ke,

Kanp Gaya Tha Dashkandhar,
Aur Tah- Nahas Kar Lanka Ko,
Wapas Hai Aap Mude,
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude ॥

Tiji Baar Ude to Hanumat,
Parvat Hi Le Aaye,
Ram Chandra Ke Kaaj Sanware,
Lakhan Ke Pran Bachaye,
Sharma Gale Lagakar Raghuvar,
Bole Bajrang Bala,
Jay Ho, Jay Ho Teri,
O Anjni Ke Lala,
Lakhkha Mila Die Bajrangbali,
Dekho Do Bhai Bichhude,
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude ॥

Main Agyani Moorakh Hoon,
Tum Bal Buddhi Ke Data,
Hai Ajar Amar, Ho Sankat Mochan,
Aur Ho Bhakt Vidhata,
Tere Charanon Mein Bajrangi,
Man Ye Mera Jud Jaye,
Maro Aisi Phoonk Ki,
Mere Paap Sabhi Ud Jaye,
Bajrangbali Tere Charanon Mein,
Aakar Ke Ham Hai Pade,
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude ॥

Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude
Hanuman Ude Udte Hi Gaye,
Sab Dekh Rahe Hai Khade Re Khade,
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude
Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude ॥
उड़े उड़े बजरंगबली, जब उड़े उड़े - भजन - हिन्दी में पढ़ें
उड़े उड़े बजरंगबली, जब उड़े उड़े, हनुमान उड़े उड़ते ही गये, सब देख रहे है..
Bhajan Hanuman BhajanBajrangbali BhajanBalaji BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Jayanti BhajanLakha Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥

Girija Ke Chheya Ganpati Tumhe Pukaru

Girija Ke Chheya, Ganpati Tumhe Pukaru, Poojun Main Tumhe, Aarati Teri Utarun, Girija Ke Chheya ॥

Mahalaxmi Jaap Karo

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam, Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam

Mere Mohan Tera Muskurana

Mere Mohan Tera Muskurana, Bhool Jaane Ke Kabil Nahin Hai, Chot Khayee Hai Jo Mainne Dil Mein, Vo Dikhane Ke Kabil Nahin Hai