Download Bhakti Bharat APP
Hanuman Chalisa - Follow Bhakti Bharat WhatsApp Channel - Hanuman Chalisa - Durga Chalisa -

Bajrang Ke Aate 2 Kahin Bhor Ho Na Jaye Re (बजरंग के आते आते कही भोर हो न जाये रे: भजन)


Bajrang Ke Aate 2 Kahin Bhor Ho Na Jaye Re
Shri Hanuman Janmotsav, Mangalvar Vrat, Shanivar Pooja, Budhe Mangalavar, Sundarkand, Ramcharitmanas Katha Aur Akhand Ramayan Ke Path Mein Pramukhta Se Gaye Jane Wala Bhajan ।
Bajrang Ke Aate Aate Kahi Bhor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ।

Kya Bhor Hote Hote Bajrang Aa Sakenge,
Lakshman Ko Naya Jeevan Phir Se Dila Sakenge ।
Kahi Saas Ki Ye Dori Kamajor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Kaise Kahunga Ja Ke Mara Gaya Hai Lakshman,
Taj Degi Pran Sun Ke Mata Sumitra Fauran ।
Kaheen Yah Kalank Mujhse Ik Aur Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Lakshman Bina Hai Tuta Yah Danya Hath Mera,
Kuchh Soojhta Nahin Hai Charo Taraph Andhera ।
Lanka Mein Kahin Ghar Ghar Ye Shor Ho Na Jaye Re
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Warna Atal Hai ‘sharma’ Meri Baat Na Talegi,
Lakshman Ke Sath Meri ‘lakhkha’ Chita Jalegi ।
Main Sochta to Kuch Hoon, Kuch Aur Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥

Bajrang Ke Aate Aate Kahi Bhor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ।

Singer: Swarlakhabir Singh Lakkha

बजरंग के आते आते कही भोर हो न जाये रे: भजन हिन्दी में पढ़ें

बजरंग के आते आते कही भोर हो न जाये रे, ये राम सोचते हैं, श्री राम सोचते हैं।
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanLakha Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Karne Vandan Charno Me Bajrangi

Karne Vandan Charnon Mein Bajrangi, Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge, Ho Dar Pe Tere Roj Ayenge...

Ram Ke Dulare, Mata Janki Ke Pyare

Ram Ke Dulare, Mata Janaki Ke Pyare, Tumhe Naman Hajaro Baar Hai ।

Cham Cham Nache Hanuman Baje Re Pag Paijaniya

Cham Cham Nache Hanuman, Baje Re Pag Paijniya, Ram Ka Kare Gungan, Baje Re Pag Paijniya, Cham Cham Nache Hanuman, Baje Re Pag Paijniya ॥

Jai Bajrangbali Jai Hanumana

Hanumanaji Stuti, Jay Bajarangi Jay Hanumana, Rudra Roop Jay Jay Balbaan, Sankat Mochan Siy Matu Ke Pyare ॥

Shri Ram Janki Baithe Hain Mere Seene Me Bhajan

Shri Ram Janki Baithe Hain Mere Seene Mein, Dekh Lo Mere Man Ke Naaginen Mein । shri ram janki lyrics in hindi and endlish

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Hanuman Chalisa -
Ram Bhajan -
×
Bhakti Bharat APP