Bhajan: Ye Too Prem Ki Baat Hai Udho (यह तो प्रेम की बात है उधो: भजन)


Ye to Prem Ki Baat Hai Udho,
Bandgi Tere Bas Ki Nahin Hai ।
Yahaan Sar Deke Hote Saude,
Aashki Itni Sasti Nahin Hai ॥
Prem Walon Ne Kab Waqt Puchha,
Unki Pooja Mein Sun Le E Udho ।
Yahaan Dam Dam Mein Hoti Hai Pooja,
Sar Jhukane Ki Phursat Nahin Hai ॥
॥ Ye to Prem Ki Baat Hai Udho… ॥

Jo Asal Mein Hain Masti Mein Dube,
Unhen Kya Parwah Zindagi Ki ।
Jo Utarati Hai Chadhti Hai Masti,
Vo Hakikat Mein Masti Nahin Hai ॥
॥ Ye to Prem Ki Baat Hai Udho… ॥

Jiski Najro Mein Hai Shyam Pyare,
Vo to Rahte Hain Jag Se Nyare ।
Jiski Nazron Mein Mohan Samaye,
Vo Nazar Phir Tarasati Nahin Hai ॥
॥ Ye to Prem Ki Baat Hai Udho… ॥

Ye to Prem Ki Baat Hai Udho,
Bandagi Tere Bas Ki Nahin Hai ।
Yahaan Sar Deke Hote Saude,
Aashki Itni Sasti Nahin Hai ॥
यह तो प्रेम की बात है उधो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
यह तो प्रेम की बात है उधो, बंदगी तेरे बस की नहीं है। यहाँ सर देके होते सौदे...
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanBadhai BhajanJanmdin BhajanBirthday BhajanNavjanm BhajanSohar BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanMridul Shastri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tera Shukar Kara Bappa, Tera Shukar Kara

Tera Shukr Kara Ve Bappa, Main Tera Shukr Karan, Tera Shukr Kara Ve Ganpati , Main Tera Shukr Karan, Tusan Lagiya Tod Nibhaian, Main Tera Shukr Kara...

Ek Baar To Radha Bankar Dekho Mere Sawariya

Ek Baar To Radha Bankar Dekho, Mere Sawariya, Radha Yun Ro Ro Kahe, Radha Yun Ro Ro Kahe ॥

Mera Shyam Khatu Wala

Naiya Chala Raha Hai Mera Shyam Khatu Wala,
Mujhko Bacha Raha Hai Mera Shyam Khatu Wala ॥

Mero Radha Raman Girdhaari

Menro Radha Raman Giradhari, Giradhari Shyaam Banavari, Menro Radha Raman Giradhari..

Radha Kon Se Punya Kiye Tune

Radha Kaun Se Puny Kiye Tune, Jo Hari Roj Tere Ghar Aate Hain ॥ Radha Jab Solah Shringar Kare,...