Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hey Bhole Shankar Padharo (हे भोले शंकर पधारो - भजन)


Hey Bhole Shankar Padharo
Hey Bhole Shankar Padharo Hey Bhole Shambhu Padharo
Baithe Chhip Ke Kahan Jata Dhari Padharo
Baithe Chhip Ke Kahan, Ganga Jata Mein Tumhari
Ganga Jata Mein Tumhari, Ham Pyase Yahan ॥
Maha Sati Ke Pati Meri Suno Vandana ।
Hey Bhole Shankar Padharo Baithe Chhip Ke Kahan
Aao Mukti Ke Data Pada Sankat Yahan ॥
Maha Sati Ke Pati Bolo Chhupe Ho Kahan Hey ॥ Bhole Shankar Padharo ॥
Bagirath Ko Ganga Prabhu Tumne Di Thi,
Sagar Ji Ke Putron Ko Mukti Mili Thi ।
Ichchha Tumhari Bina Kuchh Bhi Nahin Hota ॥
Hey Bhole Shambhu Padharo Hey Gauri Shankar Padharo
Kis Ne Roke Wahan,aayo Bhasam Ramayiya
Sab Ko Taj Ke Yahan Sab Ko Taj Ke Yahan ॥ Bhole Shankar Padharo ॥

Meri Tapasya Ka Phal Chahe Lelo,
Ganga Jal Ab Apne Bhakto Ko De Do ।
Pran Pakheru Kaheen Pyasa Ud Jaye Na,
Koi Teri Karuna Pe Ungali Uthaye Na ॥
Bhiksha Main Mangu Jan Kalyan Ki,
Bhiksha Main Mangu Jan Kalyan Ki,
Ichchha Karo Poori Ganga Snan Ki ॥
Ab Na Der Karo, Aake Kasht Haro,
Meri Baat Rakh Lo, Meri Laaj Rakh Lo ॥
Hey Bhole Gangadhar Padharo, Hey Bhole Vishdhar Padharo,
Dori Toot Jaye Na, Mera Jag Mein Nahin Koi
Tere Bina Mera Jag Mein Nahin Koi Tere Bina ॥ Bhole Shankar Padharo ॥

Nandi Ki Saugandh Tume, Vasta Kailash Ka,
Bujh Na Dena Deeya Mere Vishwas Ka ।
Poori Yadi Aaj Na Hui Manokamna,
Phir Deenbandhu Hoga Tera Nam Na ।
Bhole Nath Padharo, Uma Nath Padharo
Tumne Tara Jahan,aao Maha Sanyasi
Ab to Aa Jao Na Aao Maha Sanyasi Ab to Aa Jao Na ॥ Bhole Shankar Padharo ॥

हे भोले शंकर पधारो - भजन हिन्दी में पढ़ें

हे भोले शंकर पधारो हे भोले शम्भू पधारो, बैठे छिप के कहाँ जटा धारी पधारो...
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Uche Parvat Gufa Nyari Jithe Maa Bhawan Bana Baithi

Unche, Parvat, Gupha Nyaari, Jahaan Maan, Bhavan Bana Baithi ॥

Bolo Jay Jaikare

Unche Unche Bhawanon Baithi Rup Anekon Dhare, Charan Chakari Kar Lo Bhaiya, Ho Jae Vare Nyare,
Bolo Jay Jaikare, Maa Ko Bolo jay Jaikare ॥

Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa

Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa, Tumko Bulaya Hai Maa, Ye Baat Do Bata Do, Ye Bata Do Puja Main Koi, Kami To Nahi Kami To Nahi, Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa ॥

Is Dharti Par Swarg Se Sundar Hai Tera Darbar

Is Dharti Par Swarg Se Sundar, Hai Tera Darbar, Hum Par Rahe Barsata Yun Hi, Sada Tumhara Pyar,
Tumhara Pyar Na Ruthe, Tera Darwar Na Chute, Maa Tumhara Pyar Na Ruthe, Meri Parivar Na Tute ॥

Ambe Charan Kamal Hain Tere

Ambe Charan Kamal Hai Tere, Hum Bhaunren Hain Janam Janam Ke, Nisdin Dete Phere

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shambhu Paiyan Padu

Shambhu Paiyan Padu

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP