Jinka Maiya Ji Ke Charnon Se Sambandh Ho Gaya ।
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
Maa Ki Shakti Ko Jo Bhi, Pranam Karte,
Maa Ki Bhakti Mein Man Ko, Jo Bhi Rangte ।
Maa Ki Kirpa Se Tan Man Prasann Ho Gaya,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
Jinka Maiya Ji Ke Charnon Se Sambandh Ho Gaya ।
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
Jo Bhi Shraddha Se Aata Maa Ke Darbaar Mein,
Kabhi Thokre Na Khai is Sansar Mein ।
Uska Rasta Burai Ka Band Ho Gaya,
Unke Ghar Mein Anand Hi, Anand Ho Gaya ॥
Jinka Maiya Ji Ke Charnon Se Sambandh Ho Gaya ।
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
Maa Ko Dhyanu Ne Dhyaya Hai Sur Taal Se,
Nikle Bhakti Ke Swar Uski Khadtaal Se ।
Maa Ka Gungaan Chhaino Ka Chhand Ho Gaya,
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
Jinka Maiya Ji Ke Charnon Se Sambandh Ho Gaya ।
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
Maa Ki Jyoti Mitati Hai Andhkar Ko,
Koi Virala Hi Jaane Lakhkha Maa Ke Pyaar Ko,
Om Sharma Ko Dar Ye Pasand Ho Gaya,
Unke Ghar Mein, Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
Jinka Maiya Ji Ke Charnon Se Sambandh Ho Gaya ।
Unke Ghar Mein Anand Hi Anand Ho Gaya ॥
BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanSantoshi Maa BhajanLakhbir Singh BhajanLakkha Bhajan
* If you are feeling any data correction, please share your views on our contact us page.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!