Kalyug Ka Dev Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala,
Kadam Kadam Par Raksha Karta,
Bhakto Ka Rakhwala Re,
Kalyug Ka Denv Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala ॥
Inke Hote Kisi Bhagat Ki,
Hogi Kabhi Bhi Haar Nahi,
Khud Ka Maan, Bhale Ghat Jaye,
Bhagat Ka Ghate Sweekar Nahi,
Apne Bhagat Ki Khatir Isne,
Kya Se Kya Kar Dala Re,
Kalyug Ka Denv Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala ॥
Sachche Man Se Jisne Inko,
Aansu Bhent Chadhaye Hai,
Sinhasan Hil Jaata Inka,
Pal Mein Daude Aaye Hai,
Aansoo Ke Badale Khushiyo Se,
Daman Hai Bhar Dala Re,
Kalyug Ka Denv Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala ॥
Kalikal Mein Kare Hukumat,
Mera Khatu Wala Shyam,
Pandav Kul Ke, Avtari Ko,
Mera Laakhon Lakh Pranam,
Hanste Hanste Shri Krishn Ko,
Sheesh Daan De Dala Re,
Kalyug Ka Denv Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala ॥
Shyam Kah Raha Inke Bas Mein,
Kuch Bhi Nahi Asambhav Hai,
Morchhadi Se, Pran Bachaye,
Hote Dekha Sambhav Hai,
Bade Bade Sankat Ko Isne,
Hath Se Apne Tala Re,
Kalyug Ka Denv Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala ॥
Kalyug Ka Dev Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala,
Kadam Kadam Par Raksha Karta,
Bhakto Ka Rakhwala Re,
Kalyug Ka Denv Nirala,
Mera Shyam Hai Khatu Wala ॥
आरती कुंजबिहारी की |
आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन |
श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं |
आरती श्री बाल कृष्ण जी की |
ॐ जय जगदीश हरे |
मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं |
कृष्ण भजन |
अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं |
श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी