गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Karti Hu Tumhara Vrat Main (करती हूँ तुम्हारा व्रत मैं - माँ संतोषी भजन)


Karti Hu Tumhara Vrat Main
Karti Hu Tumhara Vrat Main,
Swikar Karo Maa,
Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥
Baithi Hoon Badi Aasha Se,
Tumhare Darbaar Mein,
Kyun Roye Tumhari Beti,
Is Nirdyi Sansar Mein,
Palta Do Meri Bhi Kismat,
Palta Do Meri Bhi Kismat,
Chamatkar Karo Maa ।

Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

Mere Liye to Band Hai,
Duniya Ki Sab Rahen,
Kalyan Mera Ho Sakta Hai,
Maa Aap Jo Chahen,
Chinta Ki Aag Se Mera,
Chinta Ki Aag Se Mera,
Uddhar Karo Maa ।

Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

Durbhagy Ki Deewar Ko,
Tum Aaj Hata Do,
Mateshwari Wapis Mere,
Saubhagy Ko La Do,
Is Abhagini Nari Se,
Is Abhagini Nari Se,
Kuch Pyar Karo Maa ।

Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

Karti Hu Tumhara Vrat Main,
Swikar Karo Maa,
Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

- Movie: Jai Santoshi Maa 1975

करती हूँ तुम्हारा व्रत मैं - माँ संतोषी भजन हिन्दी में पढ़ें

करती हूँ तुम्हारा व्रत मैं, स्वीकार करो माँ, मझधार में, मैं अटकी..
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanSantoshi Maa BhajanUsha Mangeshkar BhajanHindi Movie BhajanJai Santoshi Maa Movie Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aayi Barsane Wali Hai Aayi

Aayi Barsane Wali Hai Aayi, Raas Rachate Hai Krishn Kanhai ॥

Kajal Tiko Lagwale Lun Rai Karva Le

Kajal Tiko Lagwa Le, Lun Rai Karwa Le, Nahi to Thare Najar Lag Javegi, O Baba Thare Najar Lag Javegi ॥

Kar De Sabhi Pe Upkar Baba Dukhiya Khade Jo Tere Dwar Hai

Kar De Sabhi Pe Upkar, Baba Dukhiya Khade Jo Tere Dwar Hai, Kar Den Sabhi Pe Upkar ॥

Mujhe Kaisi Fikar Saware Sath Tera Hai Gar Saware

Mujhe Kaisi Phikar Sanware, Sath Tera Hai Gar Sanware, Mere Hontho Pe Rahati Hansi, Koi Gam Na Bas Hai Khushi, Mujhe Kaisi Fikr Sanware, Sath Tera Hai Gar Sanware ॥

Hum Too Diwane Muraliya Ke Aaja Aaje Re Lal Yashoda Ke

Hum to Diwane Muraliya Ke, Aja Aja Re Lal Yashoda Ke । Teri Baat Johe Radha Gori

Bas Itni Tamanna Hai Shyam Tumhe Dekhun

Bas Itni Tamanna Hai, Shyam Tumhe Dekhoon, Ghanshyam Tumhe Dekhoon ॥

Mera Aap Ki Kripa Se Sab Kam Ho Raha Hai

Mera Aapki Daya Se Sab Kaam Ho Raha Hai । Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP