Follow Bhakti Bharat WhatsApp Channel
Hanuman Chalisa - Follow Bhakti Bharat WhatsApp Channel - Hanuman Chalisa - Aditya Hridaya Stotra -

Karunamayi Kripamayi Meri Dayamayi Radhe (करुणामयी किरपामयी, मेरी दयामयी राधे: भजन)


Karunamayi Kripamayi Meri Dayamayi Radhe
Karunamayi Kirpamayi,
Meri Dayamayi Radhe ॥
Pad – Jugal Naam So Nem,
Japat Nit Kunj Bihari,
Avilokit Rahe Keli Sakhi,
Sukh Ko Adhikari.
Gaan Kala Gandharv,
Shyam Shyama Ko Toshe,
Uttam Bhog Lagaye,
Mor Markat Timi Poshe ।
Nrpati Dwar Thaade Rahe,
Darshan Aasha Jaaski,
Aashadhir Udyot Kar,
Rasik Chhaap Haridas Ki ॥

Karunamayi Kirpamayi,
Meri Dayamayi Radhe,
Meri Dayamayi Shyama,
Meri Karunamayi Radhe,
Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Shyama,
Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Radhe ॥

Dhany Vrindavan Dham Hai,
Dhany Vrindavan Naam,
Dhan Vrindavan Rasik Jan,
Je Sumire Shyama Shyam ॥

Shyama Shyama Shyama Shyama,
Shyama Shyama Shyama Shyama ॥

Priya Laal Raaje Jahaan,
Tahaan Vrindavan Jaan,
Vrindavan Taj Ek Pag,
Jaye Na Rasik Sujaan ॥

Shyama Shyama Shyama Shyama,
Shyama Shyama Shyama Shyama ॥

Jo Sukh Vrindavipin Mein,
Ant Kahu So Naay,
Baikunthahu Pheeko Padyo,
Braj Juvti Lalchaye ॥

Shyama Shyama Shyama Shyama,
Shyama Shyama Shyama Shyama ॥

Vrindavan Ras Bhoomi Mein,
Ras Sagar Laharaye,
Shri Haridasi Laad So,
Barsat Rang Aghaay ॥

Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Radhe ॥

Namo Namo Jay Shri Vrindavan,
Ras Barasat Ghan Ghori,
Namo Namo Jai Kunj Mahal Nit,
Namo Namo Ja Mein Sukh Hori,
Namo Namo Shri Kunj Biharin,
Namo Namo Pritam Chitchori,
Namo Namo Jai Shri Haridasi,
Namo Namo Inhi Ki Jori ॥

Hey Swamini Apne Amar Pyar Ki,
Ek Boond Chhalka Do,
Bihariju So Mere Milan Ki,
Do Baaten Karva Do ॥

Virah Vedana Se Tootee,
In Taaro Ko Jhanaka Do,
Rom Rom Ho Gira Naam Ras,
Unmad Naach Nacha Do.
Ek Boond Chhalaka Do,
Do Baaten Karava Do ॥

Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Radhe ॥

Mor Jo Banao to,
Banao Shri Vrindavan Ko,
Naach Naach Ghoom Ghoom,
Tumhi Ko Rijhaungo.
Bandar Banao to,
Banao Shri Nidhivan Ko,
Kood Kood Phaand Vriksh,
Joran Dikhaungo ॥

Bhikshuk Banao to,
Banao Braj Mandal Ko,
Took Hari Bhaktan Son,
Maang Maang Khaungo.
Bhrngi Jo Karo to Karo,
Kalindi Ke Teer Mohe,
Aathon Yaam Shyama Shyaam,
Shyama Shyaam Gaungo ॥

Shyama Shyama Shyama Shyama,
Shyama Shyama Shyama Shyama ॥

Ek Baar Ayodhya Jao,
Do Baar Dwarika,
Teen Baar Jakar,
Triveni Mein Nahaoge.
Chaar Baar Chitrakoot,
Nau Baar Nasik Mein,
Baar Baar Ja Ke,
Badrinath Ghoom Aaoge ॥

Koti Baar Kashi,
Kedarnath Rameshwar Mein,
Gaya Jagannath Aadi,
Chaahe Jahan Jaoge ॥

Hote Hai Pratyaksh Yahan,
Darsh Shyam Shyama Ke,
Vrindavan Sa Kahi,
Anand Nahin Paoge ॥

Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Shyama,
Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Radhe ॥

Karunamayi Kirpamayi,
Meri Dayamayi Radhe,
Meri Dayamayi Shyama,
Meri Karunamayi Radhe,
Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Shyama,
Karuna Mayi Kirpa Mayi,
Meri Dayamayi Radhe ॥
Read Also

Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanJhulan Yatra BhajanKrishna Murari Bhajan

Other Popular Karunamayi Kripamayi Meri Dayamayi Radhe Video

Sabse Unchi Prem Sagai By Jaya Kishori

Sabse Unchi Prem Sagai By Shri Devkinandan Thakur Ji

Sabse Unchi Prem Sagai Srishti Bhandari

Sabse Unchi Prem Sagai By Varsha Shrivastava

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Gauri Nandan Tera Vandan Karta Hai Sansar

Gauri Nandan Tera Vandan, Karta Hai Sansar, Tujhe Sab Pratham Manaate, Prem Se Tujhe Bulate, Gauri Nandan Tera Vandan, Karta Hai Sansar ॥

Ganpati Mere Angana Padharo

Ganpati Mere Angana Padharo, Aas Tumase Lagae Hue Hai, Kaj Kar Do Humare Bhi pure, Tere Charanon Mein Hum to Khade Hai, Ganpati Mere Angana Padharo ॥

Hey Jag Vandan Gauri Nandan Nath Gajanan Aa Jao

Hey Jag Vandan Gauri Nandan, Nath Gajanan Aa Jao, Shiv Shankar Ke Raj Dulare, Aake Darsh Dikha Jao, Hey Jag Vandan Gauri Nandan, Nath Gajanan Aa Jao ॥

Kisliye Aas Chhauden Kabhi Na Kabhi

Kisliye Aas Chhoden, Kabhi Na Kabhi, Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge |

Jhado Morchadi Ko Lagwa Le Ho Jasi Kalyan

Jhado Morchadi Ko Lagwa Le, Ho Jasi Kalyan, Morachhadi Ke Mae Viraje, Khatu Bole Shyam, Jhado Morchadi Ko Lagwa Le, Ho Jasi Kalyan ॥

Kaha Prabhu Se Bigadta Kya

Kaha Prabhu Se Bigadta Kya, Meri Bigdi Banane Mein, Maja Kya Aa Raha Tumko..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..

Hanuman Chalisa -
Hanuman Chalisa -
×
Bhakti Bharat APP