Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan: Kashi Wale Devghar Wale Jai Shambu (काशी वाले, देवघर वाले, जय शम्भू - भजन)


Bhajan: Kashi Wale Devghar Wale Jai Shambu
Bhakti Bharat Ka 101wan Bhajan..
Kashi Vale Devghar Vale, Bhole Damroo Dhari ।
Khel Tere Hain Nirale, Shiv Shankar Tripurari ।

Jayati Jayati Jai Kashi Vale,
Kasho Vale Devghar Vale ।
Khel Hain Tere Nath Nirale,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Jo Bhi Tera Dhyan Dhare,
Uska Sur Nar Maun Kare ।
Janam Maran Se Vo Ubhre,
Bhole Charan Tumhare Jo Dharle ।
Daya Karo Vish Peene Vale,
Bhakt Jano Ke Tum Rakhvale ।
Tum Bin Naiya Kaun Sambhale,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Aise Ho Augaddani,
Dete Ho Vaar Man Mani ।
Bhasmasur Tha Abhimani,
Bhasmasur Ki Shaitani ।
Parvati Ban Vishnu Aaye,
Dagabaj No Maza Chakhaye ।
Bhang Dhatoora Aap Te Khaye,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Apani Vipda Kise Sunayen,
Man Mein Ik Asha Hain Laye ।
Shri Charano Ki Dhul Mile Jo,
Naiyan Hamare Darshan Payen ।
Aas Hamari Poori Kardo,
Meri Khali Jholi Bhardo ।
Ek Nazar Mujh Pe Bhi Kardo,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Jo Bhi Aya Tere Dware,
Jage Uske Bhagya Sitare ।
Main Sharanagat Sharan Tihare,
Bole Sharan Tihare, Sharan Tihare ।
Karoon Nahin Koi Lakhon Taare,
Sharma Ko Mat Bhulo Swami,
Hai Kailashi Antaryami ।
Om Namo Shiv Namo Namami,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

काशी वाले, देवघर वाले, जय शम्भू - भजन हिन्दी में पढ़ें

काशी वाले देवघर वाले, भोले डमरू धारी। खेल तेरे हैं निराले, शिव शंकर त्रिपुरारी।
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Maa Tu Hi Tu

Maan Tu Hi Tu Maye Tu Hi Tu, Maan Tu Hi Tu Maye Tu Hi Tu ॥

Meri Maiya Tumhe Arpan Bhala Hum Kya Kare

Meri Maiya Tumhe Arpan, Bhala Hum Kya Karen, Tumhin Se Hai Meri Duniya Bhala, Dam Kya Bharen, Meri Maiya Tumhen Arpan, Bhala Hum Kya Karen ॥

Badi Mushkil Se Aai Tere Dar

Badi Mushkil Se Aai Tere Dar, Aash Puri Maa Kar Dena Meri, Liye Sankat Hajaro Ke Haar, Aaj Chinta Maa Har Lena Meri, Badi Mushkil Se Aai Tere Dar, Aash Puri Maa Kar Dena Meri ॥

Maa! Mujhe Teri Jarurat Hai

Maa ! Mujhe Teri Jarurat Hai । Kab Dalogi, Mere Ghar Phera | Tere Bin, Ji Nahin Lagta Mera,

Jai Mata Di Bol Bhagta Chitthi Maa Ki Aayegi

Jai Mata Di Bol Bhagta, Chitthi Maa Ki Aayegi, Jaag Jagtare Mein, Maa Tere Bhagy Jagaegi, Dil Se Jo Pukarega, Der Na Lagayega, Jaag Jagtare Mein, Maa Tere Bhagy Jagaegi, Jai Mata Di Bol Bhagta ॥

Durga Chalisa - Durga Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP