गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Koi Nahi Jaha Mein Dhanwan Mere Jaisa (कोई नहीं जहाँ में, धनवान मेरे जैसा: भजन)


Koi Nahi Jaha Mein Dhanwan Mere Jaisa
Koi Nahi Jahan Main,
Dhanvan Mere Jesa,
Daata Mila Garib Ko,
Daata Mila Garib Ko,
Hanuman Tere Jesa,
Koi Nahi Jahan Main,
Dhanvan Mere Jesa ॥
Kismat Ki Hai Garibi,
Taqdir Ka Hai Pesa,
Taqdir Ka Ye Malik,
Ghabrana Tera Kesa,
Bhakto Ko Hona Chahiye,
Bhakto Ko Hona Chahiye,
Ye Gyan Mere Jesa,
Koi Nahi Jahan Main,
Dhanvan Mere Jesa ॥

Sarkar Sabse Unchi,
Hanuman Hai Tumhari,
Dino Ke Daata Tumse,
Pahachan Hai Hamari,
Pahuncha Sahi Thikane,
Pahuncha Sahi Thikane,
Anjam Mere Jesa,
Koi Nahi Jahan Main,
Dhanvan Mere Jesa ॥

Daulat Banaye Bangala,
Patbar Na Banaye,
Majhi Nahi Bikau,
Samjho Laga Kinare,
Samjho Laga Kinare,
Nadan Mere Jesa,
Koi Nahi Jahan Main,
Dhanvan Mere Jesa ॥

'Banwari' Ek Hi Hai,
Dhanvan Mujhse Jyada,
Dhoka To Kar Raha Hun,
Kese Karun Irada,
Dhanvan Ban Saka Na,
Dhanvan Ban Saka Na,
Hay Ram Tere Jesa,

Koi Nahi Jahan Main,
Dhanvan Mere Jesa,
Daata Mila Garib Ko,
Daata Mila Garib Ko,
Hanuman Tere Jesa,
Koi Nahi Jahan Main,
Dhanvan Mere Jesa ॥

कोई नहीं जहाँ में, धनवान मेरे जैसा: भजन हिन्दी में पढ़ें

कोई नहीं जहाँ में, धनवान मेरे जैसा, दाता मिला गरीब को, दाता मिला गरीब को, हनुमान तेरे जैसा, कोई नही जहाँ में, धनवान मेरे जैसा ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale, Ase Ganray Ko Sabka Pranam, Sarbapratham Puja Jiski Hoti,
Gan Ganpati Unka Naam ॥

Gaiye Ganpati Subaho Shaam

Gaiye Ganpati Subaho Shaam, Mangalmurti Mangalkari, Pawan kari Tero Naam, Gaiye Ganpati Subaho Shaam ॥

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP