Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Pehle Dhyan Shree Ganesh Ka Modak Bhog Lagao (पहले ध्यान श्री गणेश का, मोदक भोग लगाओ: भजन)


Pehle Dhyan Shree Ganesh Ka Modak Bhog Lagao
Pahale Dhyan Shri Ganesh Ka,
Modak Bhog Lagao,
Bhakti Man Se Kar Lo Bhakto,
Bhakti Man Se Kar Lo Bhakto,
Ganpati Ke Gun Gao,
Pahale Dhyan Shrin Ganesh Ka ॥
Dwar Dwar Ghar Aasan Sab Par,
Shubh Prabhu Ki Hai Pratima,
Devo Mein Jo Dev Poojya Hai,
Ganpati Ki Hai Garima,
Mangal Ati Sumangal Hai Jo,
Mangal Ati Sumangal Hai Jo,
Unko Nayan Basao,
Pahale Dhyan Shrin Ganesh Ka ॥

Aarti Stuti Bhajan Prarthana,
Shankh Naad Bhi Goonje,
Mangal Jal Darshan Se Ganpati,
Tan Man Sabka Bheeje,
Sab Bhakto Ka Mangal Kar Do,
Sab Bhakto Ka Mangal Kar Do,
Man Sab Ka Harshao,
Pahale Dhyan Shrin Ganesh Ka ॥

Sab Tyohaar Unhi Se Shubh Hai,
Ganpati Ka Tyohar,
Mooshak Vahan Shri Ganesh Ka,
Aisa Dev Hamara,
Kirtan Bhajan ‘narayan’ Karte,
Kirtan Bhajan ‘narayan’ Karte,
Utsav Aaj Manao,
Pahale Dhyan Shrin Ganesh Ka ॥

Pahale Dhyan Shri Ganesh Ka,
Modak Bhog Lagao,
Bhakti Man Se Kar Lo Bhakto,
Bhakti Man Se Kar Lo Bhakto,
Ganpati Ke Gun Gao,
Pahale Dhyan Shrin Ganesh Ka ॥

पहले ध्यान श्री गणेश का, मोदक भोग लगाओ: भजन हिन्दी में पढ़ें

पहले ध्यान श्री गणेश का, मोदक भोग लगाओ, भक्ति मन से कर लो भक्तो, भक्ति मन से कर लो भक्तो, गणपति के गुण गाओ, पहले ध्यान श्रीं गणेश का ॥
Read Also

Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Prabhuji Tum Bin Kaun Sahara

Jo Ganpati Ko Dhyaye,Param Sukhi Ho Jaye । Jo Shankar Ko Pooje,Vipda Paas Na Aaye ॥

Hui Galiyon Mein Jai Jaikaar

Naachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Nachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Goonji Ganpati Teri Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar, Hui Galiyon Mein Jai Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥

Shankarji Ka Damroo Baje From Movie Bal Ganesh

Shankar Ji Ka Damroo Baje Parvati Ka Nandan Nache ॥ Barphile Kailashikhar Par, Jay Ganesh Ki Dhoom

Sham Sakhiyan to Darda Mara

Sham Sakhiyon Se Darda Mara, Sham, Sakhiyon Se, Darda Mara ॥ O, Murli, Chhupai Rakhta... Jay Ho... ॥ O, Murli, Chhupai Rakhta... ॥

Aao Vinayak Mhare Aanganiye Padharo

Aao Vinayak Mhare, Aanganiye Padharo, Bhakta Ra Karaj Saro Ji, Han Sanvaro ji, Aao Vinayak Mhare,
Aanganiye Padharo ॥

Bega Sa Padharo Ji Sabha Mein Mhare Aao Ganraj

Bega Sa Padharo Ji, Sabha Mein Mhare Aao Ganraj, The Bega Padharo Ji ॥

Mhare Ghar Mein Aaj Padharo Ji Gananayak Maharaj

Mhare Ghar Mein Aaj Padharo Ji, Gannayak Maharaj, Mhara Gannaayak Maharaj, Mhara Lambodar Maharaj, Mhara Sagala Kaj Sudharo Ji, Gannayak Maharaj, Mhare Ghar Mein Aaj Padharo Ji, Gannayak Maharaj ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP