Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ram Dashrath Ke Ghar Janme (राम दशरथ के घर जन्मे - भजन)


Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Log Darshan Ko Chal Aaye,
Suhana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥
Yagy Ke Kaam Karne Ko,
Munishwar Le Gaya Van Mein,
Udaye Shesh Daityan Ke,
Nishana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Dhanush Ko Jaye Kar Toda,
Janak Ki Rajdhani Mein,
Bhop Sab Man Mein Sharmaye,
Lajana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Pita Ki Maan Kar Aagya,
Ram Ban Ko Chale Jab Hi,
Na Chhoda Sang Sita Ne,
Janana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Siya Ko Le Gaya Ravan,
Banakar Bhesh Jogi Ka,
Karaya Nash Sab Apna,
Deewana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Preet Sugreev Se Karke,
Giraya Baan Se Baali,
Dilai Naar Phir Uski,
Yarana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Gaya Hanuman Sita Ki,
Khabar Lene Ko Lanka Mein,
Jalakar Ke Nagar Aaya,
Sayana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Bandh Setu Samundar Mein,
Utara Paar Sena Ko,
Mitaya Vansh Ravan Ka,
Harana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Raaj Dekar Vibhishan Ko,
Ayodhya Lautkar Aaye,
Vo Bramhanand Bal Apna,
Dikhana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Log Darshan Ko Chal Aaye,
Suhaana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

राम दशरथ के घर जन्मे - भजन हिन्दी में पढ़ें

राम दशरथ के घर जन्मे, घराना हो तो ऐसा हो, घराना हो तो ऐसा हो, लोग दर्शन को चल आये, सुहाना हो तो ऐसा हो, राम दशरथ के घर जन्मे, घराना हो तो ऐसा हो ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tera Jag Hai Kare Gunagaan Gajaanan Lambodar

Tera Jag Hai Karen Gungaan, Gajanan Lambodar, Lambodar Hey Lambodar, Lambodar Hey Lambodar,
Tu Jag Mein Sabse Mahan, Gajanan Lambodar, Tera Jag Hai Kare Gungaan, Gajanan Lambodar ॥

Preet Main Puje Naam Tumhara

Preet Me Puje Naam Tumhara, Ganpati Jagat Khivaiya, Shiv Nandan Ab Aaj Hamari, Paar Lagana Naiyya, Jai Gauri Ke Lala ॥

Koi Shubh Kam Ho

Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Reeti Devon Ne Iski Chalai, Iss Reeti Ko Hum Sab Nibhaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥

Gajanan Gauri Ke Lala Meri Mehfil Mein Aa Jana

Gajanan Gauri Ke Lala, Meri Mehfil Mein Aa Jana, Manaye Aaj hum Tumako, Meri Mahaphil Main Aa Jana ॥

Tumhe Vandana Tumhe Vandana

Tumhe Bandana Tumhe Bandana, Hey Buddhi Ke Data, Sab Devo Ke Gyata, Tumhe Bandana Tumhe Bandana ॥

Ganpati Bappa Tera Karu Vandan

Ganpati Bappa Tera Karu Vandan, Mujhe Di Hin Par Daya Karo, Main Sharan Tumhari Aaya Hu Pharyad Mein Bappa Laya Hu, Sun Kar Mera Kalyan Karo, Ganpati Bappa Tera Karu Vandan ॥

Hum Khushiyan Mangne Aaye Hai

Hum Khushiyan Mangne Aaye Han, Darbar Mein Sherawali Ke, Hum Khushiyan Mangne Aaye Han, Darbar Mein Sherawali Ke

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP