Tere Dawar Pe Aane Walon Ne,
Kya Ajab Nazara Dekha Hai,
Har Aur Nirale Jalwe Hai,
Jaha Bhawan Tumhara Dekha Hai,
Tere Dawar Pe Aane Walon Ne,
Kya Ajab Nazara Dekha Hai ॥
Patthar Ko Cheer Chattaanon Se,
Kya Sundar Gupha Banai Hai,
Charanon Se Nikli Gangadhara,
Ye Kesi Leela Rachae Hai,
Har Daal Daal Patte Mein,
Maa Nur Tumhara Dekha Hai,
Tere Dawar Pe Aane Walon Ne,
Kya Ajab Nazara Dekha Hai ॥
Darabar Mein Dhyanu Ne Aakar,
Sar Kat Ke Apna Chadhaya Tha,
Maa Shakti Aady Bhawani ne,
Phir Chamtkar Dikhaya Tha,
Dhyanu Ke Sar Ko Jod Diya,
Upkar Tumhara Dekha Hai,
Tere Dawar Pe Aane Walon Ne,
Kya Ajab Nazara Dekha Hai ॥
‘Balaveer’ Kahe Sun Jagadambe,
Kyon Dar Se Mujhe Bhulaya Hai,
‘Aayojika’ Kahe Sun Jagdambe,
Kyon Dar Se Mujhe Bhulaya Hai,
Ek Baar Karam Apna Kardo,
Maa Dash Tumhara Aaya Hai,
Main Kese Sawar Karun Dil Main,
Didar Tumhara Dekha Hai,
Tere Dawar Pe Aane Walon Ne,
Kya Ajab Nazara Dekha Hai ॥
Tere Dawar Pe Aane Walon Ne,
Kya Ajab Nazara Dekha Hai,
Har Aur Nirale Jalwe Hai,
Jaha Bhawan Tumhara Dekha Hai,
Tere Dawar Pe Aane Walon Ne,
Kya Ajab Nazara Dekha Hai ॥