पितृ पक्ष - Pitru Paksha
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Tu Hai Mera Khivaiya (तू है मेरा खिवैया: भजन)


Tu Hai Mera Khivaiya
Tu Hai Mera Khivaiya,
Main Hoon Teri Naiya,
Naiya Ye Dolne Na,
Dena Kanhaiya,
Mujhe Sagar Mein Chhod Nahin,
Dena Kanhaiya,
Tu Hai Mera Khivaiya,
Main Hoon Teri Naiya ॥
Naiya Purani Lahre Toofani,
Meelon Door Kinara,
Duniya Hai Phani Gahara Hai Pani,
Man Maajhi Haara,
Patvaar Thaam Lena,
O Bansi Bajaiya,
Naiya Ye Dolne Na,
Dena Kanhaiya,
Mujhe Sagar Mein Chhod Nahin,
Dena Kanhaiya,
Tu Hai Mera Khivaiya,
Main Hoon Teri Naiya ॥

Tum to Ho Pyare Taranhare,
Sanwariya Girdhari,
Paapi Adharmi Paar Utare,
Aa Ke Sharan Tihari,
Mujhko Bhi Taar Deeje,
O Jag Ke Rachaiya,
Naiya Ye Dolne Na,
Dena Kanhaiya,
Mujhe Sagar Mein Chhod Nahin,
Dena Kanhaiya,
Tu Hai Mera Khivaiya,
Main Hoon Teri Naiya ॥

Rakhte Hi Aaye Sab Ki Mohan,
Laaj Rakhni Hai Meri,
Sunke Pukaar Sanware Aao,
Deri Na Kariyo Ghaneri,
Meri Aas Tum Hi Ho,
O Brij Ke Basiya,
Naiya Ye Dolne Na,
Dena Kanhaiya,
Mujhe Sagar Mein Chhod Nahin,
Dena Kanhaiya,
Tu Hai Mera Khivaiya,
Main Hoon Teri Naiya ॥

Tu Hai Mera Khivaiya,
Main Hoon Teri Naiya,
Naiya Ye Dolne Na,
Dena Kanhaiya,
Mujhe Sagar Mein Chhod Nahin,
Dena Kanhaiya,
Tu Hai Mera Khivaiya,
Main Hoon Teri Naiya ॥

तू है मेरा खिवैया: भजन हिन्दी में पढ़ें

तू है मेरा खिवैया, मैं हूँ तेरी नैया, नैया ये डोलने ना, देना कन्हैया, मुझे सागर में छोड़ नहीं, देना कन्हैया ॥
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Navratri Specials 2026 - Navratri Specials 2026
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP