Download Bhakti Bharat APP

Yehi Raat Antim Yehi Raat Bhaari (यही रात अंतिम यही रात भारी: भजन)


Yehi Raat Antim Yehi Raat Bhaari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari,
Bas Ek Raat Ki Ab Kahani Hai Saari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥
Nahin Bandhu Bandhav Na Koi Sahayak,
Akela Hai Lanka Mein Lanka Ka Nayak,
Sabhi Ratna Bahumooly Ran Mein Ganvaye,
Lage Ghav Aise Ki Bhar Bhi Na Paye,
Dashanan Isi Soch Mein Jaagta Hai,
Ki Jo Ho Raha Uska Parinam Kya Hai,
Ye Baaji Abhi Tak Na Jeeti Na Haari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Vo Bhagwan Manav to Samajhyega Itna,
Ki Manav Ke Jeevan Mein Sangharsh Kitna,
Vijay Antatah Dharm Veeron Ki Hoti,
Par Itna Sahaj Bhi Nahi Hai Ye Moti,
Bahut Ho Chuki Yuddh Mein Vyarth Haani,
Pahunch Jaye Parinaam Tak Ab Kahani,
Vachan Poorn Ho Devta Ho Sukhaari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Samar Mein Sada Ek Hi Paksh Jeeta,
Jai Hogi Mandodari Ya Ke Sita,
Kisi Maang Se Uski Laali Mitegi,
Koi Ek Hi Kal Suhaagan Rahegi,
Bhala Dharm Se Paap Kab Tak Ladega,
Ya Jhukna Padega Ya Mitaana Padega,
Vichaaron Mein Mandodari Hai Bechaari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Ye Ek Raat Maano Yugo Se Badi Hai,
Ye Sita Ke Dheeraj Ki Antim Ghadi Hai,
Prateeksha Ka Vish Aur Kitna Piyegi,
Bina Praan Ke Deh Kaise Jiyegi,
Kahe Ram Ram Ab to Ram Aa Bhi Jao,
Dikhao Darash Ab Na Itna Rulao,
Kee Ro Ro Ke Mar Jaye Sita Tumhari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari,
Bas Ek Raat Ki Ab Kahani Hai Saari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

यही रात अंतिम यही रात भारी: भजन हिन्दी में पढ़ें

यही रात अंतिम यही रात भारी, बस एक रात की अब कहानी है सारी, यही रात अंतिम यहीं रात भारी ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhajan: Kabhi Ram Banake Kabhi Shyam Banake

Popular bhajan prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand...

Ye Baba Bahut Bada Hai

Har Bhakton Ke Dil Se Nikle, Ek Yahi Awaz, Ye Baba Bahut Bada Hai, Ye Baba Bahut Bada Hain ॥

Ye Sare Khel Tumhare Hain Jag Kahta Khel Naseebo Ka

Ye Sare Khel Tumhare Hai, Jag Kahata Khel Naseebon Ka, Main Tujhse Daulat Kyun Maangu, Mainne Suna Tu Yaar Garibon Ka ॥

Sanwariyo Aavelo

Aankh Pharuke Bole Kaagliyo, Mhaaro Harse Chhe Hivdo Aaj, Sanwariyo Aavelo, Mhaaro Harse Chhe Hivdo Aaj...

Bhajan: Sat Sangati Se Pyar Karana Sikho Ji

Satsangati Se Pyar Karna Sikhoji Jeevan Ka Uddhar Karna Sikhoji Satsangati Se Pyar Karna Sikhoji

Dekhta Hi Babo Mhane Bathi Bharsi

Jane Kitane Din Pachhe, Aaj Babo Milasi, Mhane Babo Milasi, Dekhata Hi Babo Mhaane, Bathi Bharasi ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP