Aaj Saje Hain Mere Ghar K Dware Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare (आज सजे हैं मेरे घर के द्वारे आज विनायक मेरे आँगन पधारे - भजन)


Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Swagat Tumhara Hey Ganraja, Jaage Hain Bhag Humare
Poore Baras Raah Humne Taki, Tab Aaj Aai Hai Ye Shubh Ghadi
Chaaron Taraph Roshni Hai Saji
Aasan Bichhaya Bade Chaav Se, Mandir Sajaya Bade Bhav Se
Jisme Jale Dhoop-Deep-Aarti ॥1॥

Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Adbhut Tera Roop Hai Gajvadan, Darshan Kiye the Bhare Na Nayan
Ji Chaahe Pal Pal Nihaara Karoon
Sindoori Teeke Se Jagmag Hai Bhaal, Kaanon Mein Kundal Nayan Do Vishaal
Sumiran Sada Main Tumhara Karoon ॥ 2॥

Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Jay He Chaturbhuj Tumhari Daya, Jisako Mili Dhany Vo Ho Gaya
Jeevan Mein Uske Rahi Na Taras
Itna Ki Bas Maange Vardaan Hum, Karte Rahen Tera Gungaan Hum
Seva Ka Avsar Mile Har Baras ॥ 3॥

Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare
Swagat Tumhara Hey Ganraja, Jaage Hain Bhag Humare
आज सजे हैं मेरे घर के द्वारे आज विनायक मेरे आँगन पधारे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आज सजे हैं मेरे घर के द्वारे, आज विनायक मेरे आँगन पधारे, स्वागत तुम्हारा हे गणराजा, जागे हैं भाग हमारे
Bhajan Shri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanWednesday BhajanGrah Pravesh BhajanChaturthi BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturdasi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Rama Rama Ratate Ratate

Popular bhajan prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand, Ramcharitmanas Ka

Awadh Mein Ram Aaye Hain

Bajao Dhol Svaagat Mein Avadh Mein Ram Aaye, Jai Jai Ho Ram Tumhari, Lakhan Siya Ke Sang Kharari, Jai Jai Hey Krupasindhu Ji

Jai Shree Ram By Hansraj Raghuwanshi

Raghupati raghav raja Ram, Patit paavan Seeta ram, Seeta ram Seeta ram..

Mere Prabhu Ram Aye Hain

Avadh Me Horahi Jai Jaikar, Mere Prabhu Ram Aaye Hain, Avadh Me Ho Rahi Jai Jaikar, Mere Prabhu Ram Aaye Hain

Mohe Mitho Mitho Saryu Ji Ko Pani Lage

Sita Ram Ji Pyari Rajdhani Lage, Rajdhani Lage, Mohe Mitho Mitho, Saraju Ji Ko Paani Lage ।