Aana Ganapati Deva Hamare Ghar Kirtan Mein (आना गणपति देवा, हमारे घर कीर्तन में - भजन)


Aana Ganapati Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Mangal Karaj Ho Jab,
Hamare Ghar Aangan Mein,
Darshan Dikhana Tum,
Humko Ae Deva,
Aana Hoke Sawar,
Mushak Wale Vahan Mein,
Aana Ganapati Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein ॥
Shradha Se Hum Tera Poojan Karenge,
Shradha Se Hum Tera Poojan Karenge,
Modak Laddu Ka Thaal,
Hum Denge Tumhe Bhojan Mein,
Aana Ganapatin Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva ॥

Roop Anupam Gajanan Tumhara,
Roop Anupam Gajanan Tumhara,
Jyun Na Bhalae Samay,
Humm Bhakto Ke Nainan Mein,
Aana Ganapatin Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva ॥

Bhakto Ke Maan Ki Yahi kamana Hai,
Bhakto Ke Maan Ki Yahi kamana Hai,
Bite Hamara Ye Jeevan,
Ganesha Tere Charan Mein,
Aana Ganapati Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva ॥

Bas Itni Kirpa Tum Karna Gajanan,
Bas Itni Kirpa Tum Karna Gajanan,
Khushiyaan Hi Khushiyaan Le Aana,
Aana Ganapatin Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva ॥

Riddhi Siddhi Ko Bhi Tum Saath Lana,
Riddhi Siddhi Ko Bhi Tum Saath Lana,
Unka ka Bhi Darshan Dikhana,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva ॥

Laxmi Gi Ko Bhi Tum Sang Mein Le Aana,
Laxmi Gi Ko Bhi Tum Sang Mein Le Aana,
Dhan Bharsa Tum Karana,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Aana Ganapati Deva ॥

Aana Ganapati Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein,
Mangal Karaj Ho Jab,
Hamare Ghar Aangan Mein,
Darshan Dikhana Tum,
Humko Ae Deva,
Aana Hoke Sawar,
Mushak Wale Vahan Mein,
Aana Ganapati Deva,
Hamare Ghar Kirtan Mein ॥
आना गणपति देवा, हमारे घर कीर्तन में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आना गणपति देवा, हमारे घर कीर्तन में, मंगल कारज हो जब, हमारे घर आँगन में, दर्शन दिखाना तुम, हमको ऐ देवा, आना होके सवार, मूषक वाले वाहन में, आना गणपतिं देवा, हमारे घर कीर्तन में ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tera Jag Hai Kare Gunagaan Gajaanan Lambodar

Tera Jag Hai Karen Gungaan, Gajanan Lambodar, Lambodar Hey Lambodar, Lambodar Hey Lambodar,
Tu Jag Mein Sabse Mahan, Gajanan Lambodar, Tera Jag Hai Kare Gungaan, Gajanan Lambodar ॥

Gajanand Maharaj Padharo Kirtan Ki Taiyari Hai

Pratham Manaye Ganesh Ke, Dhyaoo Sharada Maat, Maat-Pita Guru Prabhu Charan...

Preet Main Puje Naam Tumhara

Preet Me Puje Naam Tumhara, Ganpati Jagat Khivaiya, Shiv Nandan Ab Aaj Hamari, Paar Lagana Naiyya, Jai Gauri Ke Lala ॥

Main Aaya Hoon Tere Dware Ganaraj Gajanan Pyare

Main Aaya Hoon Tere Dware, Ganaraj Gajanan Pyare, Meri Naiya Padi Hai Kinare, O Vighan Vinashan Haare, Mujhe Kaun Sambhale, Meri Laaj Bachale, Mere Man Mohiya, Tera Bas Dhyaan Kiya, Gajanan Naam Liya, Tera Bas Dhyaan Kiya, Gajanan Naam Liya ॥

Koi Shubh Kam Ho

Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Reeti Devon Ne Iski Chalai, Iss Reeti Ko Hum Sab Nibhaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥