Ajab Hai Teri Maya Ise Koi Samajh Na Paya (अजब है तेरी माया, इसे कोई समझ ना पाया - भजन)


Unche Unche Mandir Tere,
Uncha Tera Dham,
Hey Kailash Ke Vasi Bhole,
Hum Karte Hai Tujhe Pranam ।
Ajab Hai Tei Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya,
Gajab Ka Khel Rachaya,
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Adbhut Hai Sansar Yahan Par Kai Bhulekhe Hai,
Tarah Tarah Ke Khel Jagat Me Hamne Dekhe Hai,
Tu Hai Bhagya Vidhata Tere Lekh Sulekhe Hai,
Tu Likhne Vala Hai Ye Sab Tere Lekhe Hai
Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya ॥

Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya,
Gajab Ka Khel Rachaya,
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Parbrahm Parmeshwar Tu Hai Har Koi Mane Re,
Sab Tere Balak Hai Kya Apne Began Re,
Tu Antaryami Sabki Peeda Pahachane Re,
Sabke Hi Hriday Mein Baitha Ghat Ghat Ki Jane Re,
Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya ॥

Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya,
Gajab Ka Khel Rachaya,
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Hey Yogeshwar Yog Se Tune Jagat Banaya Hai,
Tan Pe Tune Bhasm Rama Ke Alakh Jagaya Hai,
Kahi Dhup Ke Rang Sunhare Kahi Pe Chhaya Hai,
Tune Kiya Hai Vahi Jo Tere Man Ko Bhaya Hai,
Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya ॥

Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya,
Gajab Ka Khel Rachaya,
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥
अजब है तेरी माया, इसे कोई समझ ना पाया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
अजब है तेरी माया,इसे कोई समझ ना पाया, गजब का खेल रचाया, सबसे बढ़ा है तेरा नाम,...
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanSukhwinder Singh Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Shankar Damru Dhari Hai Jag Ke Aadhar

Shiv Shankar Damru Dhari, Hai Jag Ke Aadhar, Teeno Lok Pe Rahata Hai, Unka Hi Adhikar, Shiv Shankar Damru Dharin, Hai Jag Ke Aadhar ॥

Kailash Shikhar Se Utar Kar

Kailash Shikhar Se Utar Kar, Mere Ghar Aaye Hai Bhole Shankar ॥

Bhole Ke Dar Se Sab Kuch Mila

Mukadar Mera Ban Hi Gaya, Bhole Ke Dar Se Sab Kuch Mila, Maan Ka Andhera Mit Sa Gaya, Bhole Ke Dar Se Sab Kuch Mila ॥