Ambe Ke Hum Hai Deewane (अम्बे के हम है दीवाने: भजन)


Ambe Ke Hum Hai Deewane,
Chale Maan Ko Manane,
Maan Ko Manane Chale,
Maan Ko Manane,
Mata Ke Darshan Paane,
Chale Maan Ke Deewane,
Ambe Ke Hum Hain Deewane,
Chale Maan Ko Manane ॥
Parvat Ki Choti Pe Dera Hai Dala,
Sare Jahan Se Ye Dham Nirala,
Jhoomen Nache Gayen Chale Maan Ko Manane,
Ambe Ke Hum Hain Deewane,
Chale Maan Ko Manane ॥

Chhod Ke Duniya Ke Kaam Ye Sare,
Maan Ki Sharan Jayen Maan Ke Dulare,
Charanon Mein Sabkuch Lutane,
Chale Maan Ko Manane,
Ambe Ke Hum Hain Deewane,
Chale Maan Ko Manane ॥

Laal Chunariya Gale Mein Hai Daali,
Hathon Mein Laal Dhwaja Dekho Hai Pyari,
Jaikara Maan Ka Lagane,
Chale Maan Ko Manane,
Ambe Ke Hum Hain Deewane,
Chale Maan Ko Manane ॥

Aanchal Pakad Koi Maan Ko Manaye,
Jholi Phailake Koi Sheesh Jhukayen,
Vardaan Maiya Se Paane,
Chale Maan Ko Manane,
Ambe Ke Hum Hain Deewane,
Chale Maan Ko Manane ॥

Ambe Ke Hum Hai Deewane,
Chale Maan Ko Manane,
Maan Ko Manane Chale,
Maan Ko Manane,
Mata Ke Darshan Paane,
Chale Maan Ke Deewane,
Ambe Ke Hum Hain Deewane,
Chale Maan Ko Manane ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
अम्बे के हम है दीवाने: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अम्बे के हम है दीवाने, चले माँ को मनाने, माँ को मनाने चले, माँ को मनाने, माता के दर्शन पाने, चले माँ के दीवाने, अम्बे के हम हैं दिवाने, चले माँ को मनाने ॥
Bhajan Ambe Gauri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanNarayani Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Pyare Hanuman Ek Kaam Kar De

Ram Ke Dulare Ek Kaam Kar De, Pyare Hanuman Ek Kaam Kar De, Tere Bhakton Main Mera Naam Kar De, Ram Ke Dulare Ek Kaam Kar De ॥