Amrit Ko Chod Kar, Jahar Kaahe Peeje (अमृत को छोड़ कर, जहर काहे पीजे: भजन)


Amrit Ko Chhod Kar,
Jahar Kaahe Peeje,
Ram Naam Lije,
Aur Sada Mauj Kije ॥
Meetha Ram Naam Hai,
Aur Meethee Ram Ki Katha,
Meetha Ram Roop Se,
Kaho Kaun Hai Bhala,
Bolo Is Mithas Pe,
Kaun Nahi Reejhe,
Ram Naam Lije,
Aur Sada Mauj Kije ॥

Lobh Ki Naav Ho,
Aur Moh Patvaar Ho,
Chhal Ka Chhidr Ho to,
Kaise Beda Paar Ho,
Apne Hi Karm Par,
Ab Kahe Khijhe,
Ram Naam Lije,
Aur Sada Mauj Kije ॥

Tere Mere Ki Kadi,
Dhoop Chilchila Rahi,
Lobh Ki Garm Hava,
Hriday Ko Jala Rahi,
Ram Kripa Ki Ghani,
Chhaav Tale Reeje,
Ram Naam Lije,
Aur Sada Mauj Kije ॥

Dekh Teri Deenta,
Paap Mein Malinta,
Vishayo Mein Leenta,
Sadhanon Se Heenta,
Ram Ke Sivaay Kaho,
Kiska Dil Pasije,

Ram Naam Lije,
Aur Sada Mauj Kije ॥

Amrit Ko Chhod Kar,
Jahar Kaahe Peeje,
Ram Naam Lije,
Aur Sada Mauj Kije ॥
अमृत को छोड़ कर, जहर काहे पीजे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अमृत को छोड़ कर, जहर काहे पीजे, राम नाम लीजे, और सदा मौज कीजे II
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Nam BhajanSita Ram BhajanAyodhya Dham BhajanRaghunath BhajanPrabhu Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥