Beti hoon na main teri shyam dar pe bula lena (बेटी हूँ ना मैं तेरी श्याम दर पे बुला लेना)


O Baba Khaatu Wale,
Mujhko Tu Dar Pe Bula Le,
Beti Hoon Na Main Teri,
Mujhko Tu Gale Laga Le,
O Baba Shyam,
Dar Pe Bula Lena,
Darshan to Kara Dena ॥
Bahut Dinon Se Baba,
Darshan Na Ho Pae,
Mandir Andar Baba,
Kaise Tum Ruk Paye,
Darshan Ko Manda Tarse,
Aur Aakhya Jhar Jhar Barse,
O Baba Shyam,
Dar Pe Bula Lena,
Darshan to Kara Dena ॥

Tum Hi Mere Jeevan Ho,
Tujhe Dekh Dekh Ji Lungi,
Tere Charanon Mein Baba Ji,
Main Jeevan Bhar Rah Lungi,
Ab De Do Sharan Tumhari,
Kya Main Nahi Tumko Pyari,
O Baba Shyam,
Dar Pe Bula Lena,
Darshan to Kara Dena ॥

Tum Darshan De Do to,
Man Bagiya Khil Jaye,
Maayus Ho Chaahe Hum,
Tujhe Dekh Ke Hum Khil Jaye,
Ab to Darshan De Do Na,
‘Khushbu’ Ko Khush Kar Do Na,
O Baba Shyam,
Dar Pe Bula Lena,
Darshan to Kara Dena ॥

O Baba Khaatu Wale,
Mujhko Tu Dar Pe Bula Le,
Beti Hoon Na Main Teri,
Mujhko Tu Gale Laga Le,
O Baba Shyam,
Dar Pe Bula Lena,
Darshan to Kara Dena ॥
बेटी हूँ ना मैं तेरी श्याम दर पे बुला लेना - हिन्दी में पढ़ें
ओ बाबा खाटू वाले, मुझको तू दर पे बुला ले, बेटी हूँ ना मैं तेरी, मुझको तू गले लगा ले
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanKhatu BhajanKhatu Shayam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare