Bhakti Aur Shakti Ke Data Ram Charan Se Jinka Nata (भक्ति और शक्ति के दाता, रामचरण से जिनका नाता: भजन)


Bhakti Aur Shakti Ke Data,
Ramcharan Se Jinka Nata,
Mhara Bajarangbali,
Mhara Bajarangbali ॥
Ram Bina Jinko Kuchh Bhi Na Dhyave,
Ram Mein Hardam Jo Dhyan Lagave,
Ram Kare Jo Bhi Bajarang Karayen - 2,
Par Na Kabhi Dil Mein Abhiman Laye,
Mhara Bajarangbali,
Mhara Bajarangbali ॥

Jiske Ho Sar Prabhu Kar Hamesha,
Aisa Na Sevak Abhi Tak Hai Dekha,
Pran Na Pyare Prabhu Jinko Pyare - 2,
Aise Hi Hai Yah Pavan Ke Dulare,
Mhara Bajarangbali,
Mhara Bajarangbali ॥

Ravan Ko Lalkara Lanka Mein Jakar,
Lakshman Bachaye the Parvat Uthakar,
Ramji Jinko Bharat Sam Batayen,
Kal Bhi Hai Jinse Aankh Churaye,
Mhara Bajarangbali,
Mhara Bajarangbali ॥

Ram Ki Bhakti Ka Marg Bata Do,
Badha Anekon Inhen Tum Hata Do,
Ram Se Kaise Milan Ho Hamara,
Shyam Kahe Kar Do Karaj Hamara,
Mhara Bajarangbali,
Mhara Bajarangbali ॥

Bhakti Aur Shakti Ke Data,
Ramcharan Se Jinka Nata,
Mhara Bajarangbali,
Mhara Bajarangbali ॥
भक्ति और शक्ति के दाता, रामचरण से जिनका नाता: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भक्ति और शक्ति के दाता, रामचरण से जिनका नाता ॥
Bhajan Hanuman BhajanBajrangbali BhajanBalaji BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanRam Navmi BhajanHanuman Jayanti BhajanRamyug BhajanRamyug BhajanRamcharan Bhajan BhajanShyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Narayani Sharanam

Maan Se Bhakti Hai, Maan Se Shakti Hai, Maan Se Mukti Hai, Karta Jo Maan Ka Sumiran...

Maiya Tere Bhakto Ko Tera Hi Sahara Hai

Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai, Tere Bina Is Jag Mein, Koi Na Hamara Hai, Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai ॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..