Bhakto Ke Dwar Padharo (भक्तो के द्वार पधारो: भजन)


Bhakto Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan,
Har Bigde Kaaj Sawaron,
Pyare Gauri Ke Lalan,
Gauri Ke Lalan,
Mahamai Ke Lalan,
Bholenath Ke Lalan,
Bhakto Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan ॥Bhanti Bhanti Ke Phool Mangaye,
Mandap Dwar Sajaye Hai,
Shraddha Bhakti Aur Lagan Se,
Angna Chauk Puraye Hai,
Dhup Dip Se Mahak Uthe,
Bhakto Ke Ghar Aangan,
Bhakton Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan ॥

Pooja Thal Sajai Paavan,
Ghi Ke Dip Jalaye Hai,
Meva Kheer Mithai Ladoo,
Modak Bhog Banaye Hai,
Mooshak Wahan Baith,
Chale Aao Girijanandan,
Bhakton Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan ॥

Dhol Manjire Jhanjh Baja,
Gungaan Tumhaare Gaate Hai,
Gauri Soot Girjesh Padharo,
Jai Jaikar Lagate Hai,
Bhakto Mein Ganraaj Aaj,
Bas Laagi Yahee Lagan,
Bhakton Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan ॥

Lambodar Ganpati Dwar Pe,
Bhakt Jano Ke Aa Jao,
Bigdi Baat Banao,
Saare Bigde Kaaj Bana Jao,
Sada ‘tiwari’ Kahe Bhakti Mein,
Hokar Yunhi Magan,
Bhakton Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan ॥

Bhakto Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan,
Har Bigde Kaaj Sawaron,
Pyare Gauri Ke Lalan,
Gauri Ke Lalan,
Mahamai Ke Lalan,
Bholenath Ke Lalan,
Bhakto Ke Dwar Padharo,
Pyare Gauri Ke Lalan ॥
भक्तो के द्वार पधारो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भक्तो के द्वार पधारो, प्यारे गौरी के ललन, हर बिगड़े काज सवारों, प्यारे गौरी के ललन, गौरी के ललन, महामाई के ललन, भोलेनाथ के ललन, भक्तो के द्वार पधारो, प्यारे गौरी के ललन ॥
Bhajan Diwali Lakshmi Ganesh Puja BhajanVighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Janme Avadh Me Ram Mangal Gao Ri

jis bhajan mein ram ka naam na ho, us bhajan ko gana na chahie...

Sare Jahan Ke Malik Tera Hi Aasara Hai

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai, Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai...

Karlo Karlo Charo Dham

Karlo Karlo Charo Dham, Milenge Krishn, Milenge Ram Jeevan Safal Usi Ka Samjho, Jisne Kiya Ye Dham

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu, Meri Gagar Bhar Do Thake Panv Hai

Tumhi Me Ye Jivan Jiye Ja Raaha Hoon

Tumhin Mein Ye Jeevan Jiye Ja Raha Hoon, Jo Kuchh De Rahen Ho Lie Ja Raha Hoon ॥ Tumhin Se Chala Karati Pranon Ki Dhadakan...