Dar Pe Tumhare Saware (दर पे तुम्हारे सांवरे: भजन)


Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya,
Mainne Tumhari Yaad Mein,
Khud Ko Mita Diya,
Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya ॥
O Sanware O Sanware,
Tirchhi Tori Najar,
Ghayal Kar Gayi Hai,
Mera Phoolon Sa Jigar,
Murli Ki Teri Taan Ne,
Pagal Bana Diya,
Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya ॥

Tum Dekho Ya Na Dekho,
Mere Naseeb Ko,
Par Rahane Do Mujhko Sada,
Apne Kareeb to,
Hai Baar Baar Mainne,
Tumko Bhula Liya,
Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya ॥

Main Kya Bataoon Tumko,
Kya Kha Raha Hai Gum,
Bekar Ho Na Jaye Kaheen,
Mera Yah Janam,
Mujh Pe Hansegi Zindagi,
Yoon Yoon Hi Gawaan Diya,
Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya ॥

Dil Mein Lag Rahi Hai,
Virah Ki Aag Yah,
Ek Din Bujhegi Tumko,
Paane Ke Baad Yah,
Hogi Saphal Ye Sadhna,
Jab Tumko Pa Liya,
Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya ॥

Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya,
Mainne Tumhari Yaad Mein,
Khud Ko Mita Diya,
Dar Pe Tumhare Sanware,
Sar Ko Jhuka Diya ॥
दर पे तुम्हारे सांवरे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दर पे तुम्हारे सांवरे, सर को झुका दिया, मैंने तुम्हारी याद में, खुद को मिटा दिया, दर पे तुम्हारे साँवरे, सर को झुका दिया ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aayi Mahadevi Avtar Bhawani More Angna Main

Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein, More Angna Mein Tori Madhiya Mein, Chhain Khushiyan Aprampar, Bhawani Tori Madhiya Mein, Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein ॥

Nit Mahima Mai Gaun Maiya Teri

Sada Jyot Jagaoon Maiya Teri, Nit Mahima Main Gaun Maiya Teri, Mujhe Na Kuch Aur Chahiye ॥

Khel Panda Khel Panda Re

Khel Panda Khel Panda Re, Khel Panda Re

Singh Sawari Mahima Bhari

Singh Sawari Mahima Bhari, Pahadon Mein Asthan Tera, Bramha Vishnu Shiv Shankar Bhi, Karte Maan Gungan Tera ॥

Tum Sharnai Aaya Thakur

Tum Sharnai Aaya Thakur, Tum Sharnai Aaya Thakur ॥ Utari Gaio Mere Man Ka Sansa, Jab Te Daraanu Paia ॥