Ek Araj Meri Sun Lo (एक अरज मेरी सुन लो - भजन)


Ek Araj Meri Sun Lo, Sarkar Mere Daata
Ek Araj Meri Sun Lo, Sarkar Mere Daata
Kardo Adham Ki Naiya, Bhav Paar Mere Daata
Kardo Adham Ki Naiya, Bhav Paar Mere Daata
Tum Ho Adham Janon Ka Uddhaar Karne Wale
Tum Ho Adham Janon Ka Uddhaar Karne Wale
Udhar Karne Wale
Main Hoon Adham Janon Ka Sardaar Mere Daata

Ek Araj Meri Sun Lo, Sarkar Mere Daata
Kardo Adham Ki Naiya, Bhav Paar Mere Daata

Karuna Nidhaan Karuna, Karani Padegi Tumko
Karuna Nidhaan Karuna, Karani Padegi Tumko
Karani Padegi Tumako
Tab Hi to Kahate Tumko, Kartaar Mere Daata

Ek Araj Meri Sun Lo, Sarkar Mere Daata
Kardo Adham Ki Naiya, Bhav Paar Mere Daata

Achchha Hoon Ya Bura Hoon, Prabhu Daas Hoon Tumhara
Achchha Hoon Ya Bura Hoon, Prabhu Daas Hoon Tumhara
Prabhu Daas Hoon Tumhara
Jeevan Tha Mere Tum Par, Sab Bhaar Tumpar Daata

Ek Araj Meri Sun Lo, Sarkar Mere Daata
Kardo Adham Ki Naiya, Bhav Paar Mere Daata

Ek Bhakt Ki Hai Vinati, Bhakton Mein Kar Lo Ginati
Ek Bhakt Ki Hai Vinati, Bhakton Mein Kar Lo Ginati
Bhakton Mein Kar Lo Ginati
Kar Do Sabhi Pe Itna, Upkar Mere Daata

Ek Araj Meri Sun Lo, Sarkar Mere Daata
Ek Araj Meri Sun Lo, Sarkar Mere Daata
Kardo Adham Ki Naiya, Bhav Paar Mere Daata
Kardo Adham Ki Naiya, Bhav Paar Mere Daata
एक अरज मेरी सुन लो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
एक अरज मेरी सुन लो, सरकार मेरे दाता, करदो अधम की नैया, भव पार मेरे दाता | पंडित सुधीर व्यास भजन
Bhajan Ayodhya BhajanHanuman BhajanRam Mandir BhajanShri Ram BhajanRam Navmi BhajanShri Raghuvar BhajanJai Shri Ram BhajanJanmbhoomi BhajanRam Janmbhoomi BhajanPandit Sudhir Vyas Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥