Gokul Ki Har Gali Mein Mathura Ki Har Gali Me (गोकुल की हर गली मे, मथुरा की हर गली मे - भजन)


Gokul Ki Har Gali Mein,
Mathura Ki Har Gali Me ॥
Gokul Ki Har Gali Mein,
Mathura Ki Har Gali Me,
Kanha Ko Dhunta Rahun,
Duniya Ke Har Gali Mein ॥

Gokul Gaiya To Socha,
Makhan Churata Hoga,
Ya Phir kadamba Ke Niche,
Bansi Bajata Hoga,
Gokul Ki Har Gali Mein,
Gwaalan Ki Har Gali Mein,
Krushna Ko Dhundta Hun,
Duniya Ke Har Gali Mein ॥

Sayad Kisi Bahan Ki,
Sadhi Badhata Hoga,
Ya Phir Wo Bis Ka Pyala,
Amrut Banata Hoga,
Bhakton Ki Har Gali Mein,
Premi Ki Har Gali Mein,
Kanha Ko Dhunta Rahun,
Duniya Ke Har Gali Mein ॥

Dhunda Gali Gali Mein,
Khoja Dagar Dagar Mein,
Mujhko MIla Kanhaiya,
Dil Walo Ki Gali Mein,
Gujri Ki Har Gali Mein,
Premi Ki Har Gali Mein,
Kanha Ko Dhunta Rahun,
Duniya Ke Har Gali Mein ॥

Gokul Ki Har Gali Mein,
Mathura Ki Har Gali Me,
Kanha Ko Dhunta Rahun,
Duniya Ke Har Gali Mein ॥
गोकुल की हर गली मे, मथुरा की हर गली मे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
गोकुल की हर गली मे, मथुरा की हर गली मे, कान्हा को ढूँढ़ता हूँ, दुनिया की हर गली मे ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hey Gannayak Sab Sukh Dayak Karo Vigan Sab Dur

Hey Gananayak Sab Sukhadayak, Karo Vighn Sab Dur, Sharan Teri Aaye Hai ॥

Daya Karo Hey Dayalu Ganpati

Sharan Main Aaye Hai Hum Tumhare, Daya Karo Hay Dayalu Ganapati, Sambhalo Bigidi Dasa Hamari, Daya Karo Hay Dayalu Ganapati ॥

Bhakto Ke Dwar Padharo

Bhakto Ke Dwar Padharo, Pyare Gauri Ke Lalan, Har Bigde Kaaj Sawaron, Pyare Gauri Ke Lalan, Gauri Ke Lalan, Mahamai Ke Lalan, Bholenath Ke Lalan, Bhakto Ke Dwar Padharo, Pyare Gauri Ke Lalan ॥

Pratham Pujya Hai Sab Devo Mein

Pratham Pujya Hai Sab Devo Mein, Jane Duniya Sari Jai Ho Ganpati Gaj Mukh Dhari, Aap Nirale Aor Aap Chavi Hai Sabse Nyari, Jai Ho Ganpati Gaj Mukh Dhari ॥

Dil Ki Kutiya Mein Meri Aa Jao

Shyam Darshan, Jara Dikha Jao, Dil Ki Kutia, Main Mere Aa Jao ॥