Sada Suhagan Naari Ka Yeh Vrat Hai Bada Mahan,
Is Vrat Se Hi Pati Vrata Naari Ki Hai Pahchan,
Karva Chauth Karva Chauth,
Ik Saal Mein Ik Baar Hi Hota Yeh Upahas,
Sare Din Patni Ko Rahata Pati Ka Hi Abhas,
Kathin Lage Par Neh Pyar Mein Bane Yeh Vrat Aasan,
Karva Chauth Karva Chauth,
Bhaktibharat Lyrics
Jab Tak Najar Nahin Aata Hai Usko Chand Ka Roop ,
Tab Tak Patni Saje Sajaye Pati Ke Hi Anurup,
Chand Dekh Kar Aate Uske Man Prano Mein Pran,
Karva Chauth Karva Chauth,
Chand Dikha to Prshan Man Se Chalti Thaal Sajaye,
Puja Kar Chanda Ke Ghar Aaye Pati Charnan Sir Laye,
Chand Se Maange Pati Ki Lambhi Aayu Ka Vardan,
Karva Chauth Karva Chauth,
Sada Suhagan Naari Ka Yeh Vrat Hai Bada Mahan,
Is Vrat Se Hi Pati Vrata Naari Ki Hai Pahchan,
Karva Chauth Karva Chauth ॥