Hanumat Tumhe Pranam Karu (हनुमत तुम्हें प्रणाम करूं: भजन)


Hanumat Tumhe Pranam Karu,
Shree Ram Janaki Ke Hanumat Tumhe Pranam Karu,
Tum Sabke Kaaj Saware Ho,
Pal Mein Dustho Ko Mare Ho,
Pawan Putra Anjani Ke Lala,
Bhakta Hun Mein Tu Rakhwala,
Bhay Aaye To Hai Hanumat Main To Tera Dhyan Dharu,
Shree Ram Janaki Ke Hanumat Tumhe Pranam Karu ॥
Ram Ke Kaaj Ko Puran Karke Tumne Naam Kamaya Hai,
Suna Hai Bachpan Mein Natkhat The Surya Ko Tumne Khaya Hai,
Naam Tera Hai Mukh Par Mere Bhoot Pisach Se Kyun Daru,
Shree Ram Janaki Ke Hanumat Tumhe Pranam Karu ॥

Siya Se Milan Karane Khatir Sagar Ko Tumne Langha Diya,
Dare Tanik Na Meghanad Ne Bramhastra Se Bandh Diya,
Lanka Jar Diye Tum Chan Mein Tere Prem Biyog Jaru,
Shree Ram Janaki Ke Hanumat Tumhe Pranam Karu ॥
BhaktiBharat Lyrics

Ramdut Hai Kesari Nandan Koun Tumhare Bin Mera,
Jaye Bachaye Tumne Unko Rog Shok Jinko Ghera,
Khila Maan Taan Ke Andar Mein Bhakt Ka Rashdhar Bharu,
Shree Ram Janaki Ke Hanumat Tumhe Pranam Karu ॥
हनुमत तुम्हें प्रणाम करूं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हनुमत तुम्हें प्रणाम करूं, श्री राम जानकी के हनुमत तुम्हें प्रणाम करूं, तुम सबके काज संवारे हो,पल में दुष्टों को मारे हो, पवन पुत्र अंजनी के लाला, मैं भक्त तेरा तू है रखवाला, भय आए तो हे हनुमंता मैं तो तेरा ध्यान धरु, श्री राम जानकी के हनुमत तुम्हें प्रणाम करूं ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Dekho Ji Jagannath Ki Rath Yatra Hai Aayi

Dhun- Mujhe Raas Aa Gaya Hai Tere Dar Pe Sar Jhukana, Dekho Ji Jagannath Ki, Rath Yatra Hai Aai। Saj-Dhaj Ke Baithe Rath Men, Ik Bahan Aru Do Bhai॥

Gajanan Ganesha Hai Gaura Ke Lala

Gajanan Ganesha Hai Gaura Ke Lala, Dayavant Ekadanta Swami Kripala ॥

Mere Man Mandir Me Tum Bhagwan Rahe

Mere Man Mandir Mein Tum Bhagwan Rahe, Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe ॥ Mere Ghar Mein Kitne Din Mehman Rahe, Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe..

Gajmukhdhari Jisne Tera Sachche Man Se

Gajmukh Dhari Jisne Tera, Sachche Man Se Jaap Kiya, Aise Pujari Ka Swayam Tumne, Aise Pujari Ka Swayam Tumne, Sidhd Manorath Aap Kiya, Gajmukh Dhari Jisnen Tera, Sachche Man Se Jaap Kiya ॥

Mere Bigde Bana Do Kaaj

Mere Bigde Bana Do Kaaj, O Mere Ganpati Ji Maharaj, O Mere Ganpati Ji Maharaj,
Ab Rakh Lena Meri Laaj, O Mere Ganpati Ji maharaj, Mere Bigde Bana Do Kaaj ॥