Itni Vinti Hai Tumse Hai Bhole Mere (इतनी विनती है तुमसे हे भोले मेरे - भजन)


Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu,
Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu,
Vaise Hi Aage Aur Nibha Lena Tum,
Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥
Achchha Hoon Bura Hoon Khota Hoon Khara,
Jaisa Bhi Hoon Hey Shambhu Main Bas Hoon Tera,
Jo Bhi Deni Ho De Dena Mujhko Saja,
Jo Bhi Deni Ho De Dena Mujhko Saja,
Apni Najaro Se Mat Na Gira Dena Tum,
Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥

Aisi Subah Na Ho Na Koi Shaam Ho,
Mere Hontho Pe Jab Na Tera Naam Ho,
Jis Ghadi Tere Charanon Ka Na Dhyan Ho,
Jis Ghadi Tere Charanon Ka Na Dhyan Ho,
Uske Pahale Hi Mujhko Utha Lena Tum,
Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥

Aaj Jo Bhi Hai Bas Vo Diya Aapne,
Meri Hasti Hai Kya Sab Kiya Aapne,
Haath Phaile Kisi or Ke Saamne,
Haath Phaile Kisi or Ke Saamne,
Zindagi Mein Vo Din Na Dikha Dena Tum,
Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥

Jod Ke Haath Ye Hi Hai Arji Meri,
Isse Aage Mere Naath Marji Teri,
Jab Bhi Aaye Jeevan Ki Ghadi Aakhri,
Jab Bhi Aaye Jeevan Ki Ghadi Aakhri,
Us Ghadi Bas Mujhe Mat Bhula Dena Tum,
Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥

Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu,
Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu,
Vaise Hi Aage Aur Nibha Lena Tum,
Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere,
Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum,
Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
इतनी विनती है तुमसे हे भोले मेरे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
इतनी विनती है तुमसे हे भोले मेरे, थाम के हाथ अब ना छुड़ा लेना तुम, जैसे अब तक निभाई है तुमने प्रभु, जैसे अब तक निभाई है तुमने प्रभु, वैसे ही आगे और निभा लेना तुम, इतनी विनती हैं तुमसे हे भोले मेरे, थाम के हाथ अब ना छुड़ा लेना तुम, इतनी विनती है तुमसे हे भोले मेरे ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Ram Nam Ke Heere Moti

Ram Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali । Krishn Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali ।

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Lanka Mein Baj Gaya Re Danka Shree Ram Ka

Mein Maa Anjani Ka Lala Shree Ram Bhakt Matvala, Mera Sota Chal Gaya Re Baja Danka Ram Ka, Lanka Mein Baj Gaya Re Danka Shree Ram Ka ॥

Rom Rom Mein Jiske Shri Ram Samaya Hai

Rom Rom Mein Jiske, Shri Ram Samaya Hai, Aaj Usi Bajrang Ka, Ye Utsav Aaya Hai ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..