Jisane Marana Seekh Liya Hai (भजन: जिसने मरना सीखा लिया है)


Jisne Marna Seekha Liya Hai,
Jeene Ka Adhikar Usi Ko ।
Jo Kanton Ke Path Par Aaya,
Phoolon Ka Uphar Usi Ko ॥
Jisne Geet Sajaye Apne
Talvaron Ke Jhan-jhan Swar Par
Jisne Viplav Raag Alape
Rimjhim Goli Ke Varshan Par
Jo Balidanon Ka Premi Hai,
Jagati Ka Pyar Usi Ko ॥

Hans-hans Kar Ik Masti Lekar
Jisne Sikha Hai Bali Hona
Apni Peeda Par Muskana
Auron Ke Kashton Par Rona
Jisne Sahna Seekh Liya Hai,
Sankat Hai Tyohar Usi Ko ॥

Durgmata Lakh Bihad Path Ki
Jo Na Kabhi Bhi Ruka Kahin Par
Anginati Aaghat Sahe Par
Jo Na Kabhi Bhi Jhuka Kaheen Par
Jhuka Raha Hai Mastak Apna Yah,
Sara Sansar Usi Ko ॥
भजन: जिसने मरना सीखा लिया है - हिन्दी में पढ़ें
जिसने मरना सीखा लिया है, जीने का अधिकार उसी को । जो काँटों के पथ पर आया...
Bhajan Vedic BhajanVed BhajanSchool BhajanCollage BhajanArya Samaj BhajanBaba Ramdev Bhajan

Other Popular Jisane Marana Seekh Liya Hai Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥