Bhajan: Kashi Wale Devghar Wale Jai Shambu (काशी वाले, देवघर वाले, जय शम्भू - भजन)


Bhakti Bharat Ka 101wan Bhajan..
Kashi Vale Devghar Vale, Bhole Damroo Dhari ।
Khel Tere Hain Nirale, Shiv Shankar Tripurari ।

Jayati Jayati Jai Kashi Vale,
Kasho Vale Devghar Vale ।
Khel Hain Tere Nath Nirale,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Jo Bhi Tera Dhyan Dhare,
Uska Sur Nar Maun Kare ।
Janam Maran Se Vo Ubhre,
Bhole Charan Tumhare Jo Dharle ।
Daya Karo Vish Peene Vale,
Bhakt Jano Ke Tum Rakhvale ।
Tum Bin Naiya Kaun Sambhale,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Aise Ho Augaddani,
Dete Ho Vaar Man Mani ।
Bhasmasur Tha Abhimani,
Bhasmasur Ki Shaitani ।
Parvati Ban Vishnu Aaye,
Dagabaj No Maza Chakhaye ।
Bhang Dhatoora Aap Te Khaye,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Apani Vipda Kise Sunayen,
Man Mein Ik Asha Hain Laye ।
Shri Charano Ki Dhul Mile Jo,
Naiyan Hamare Darshan Payen ।
Aas Hamari Poori Kardo,
Meri Khali Jholi Bhardo ।
Ek Nazar Mujh Pe Bhi Kardo,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।

Jo Bhi Aya Tere Dware,
Jage Uske Bhagya Sitare ।
Main Sharanagat Sharan Tihare,
Bole Sharan Tihare, Sharan Tihare ।
Karoon Nahin Koi Lakhon Taare,
Sharma Ko Mat Bhulo Swami,
Hai Kailashi Antaryami ।
Om Namo Shiv Namo Namami,
Jai Shambhu Jai Jai Shambu ।
काशी वाले, देवघर वाले, जय शम्भू - भजन - हिन्दी में पढ़ें
काशी वाले देवघर वाले, भोले डमरू धारी। खेल तेरे हैं निराले, शिव शंकर त्रिपुरारी।
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Dadi Itni Kirapa Kariye

Dadi Itni Kirapa Kariye, Main To Thare Darwa Se, Maa Mangata Rawa ॥

Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai

Maiya Ke Dar Pe Najara Milta Hai, Nigaah Ja Rahi Hai, Meri Maa Ki Rehmat, Najar Aa Rahi Hai, Na Lota Hai Aaj Tak, Koi Dar Se Khali, Murado Se Jholi, Bhari Ja Rahi Hai ॥

Ye Maiya Meri Hai Sabse Bol Denge Hum

Ye Maiya Meri Hai, Sabse Bol Denge Hum, Tod Ke Duniya Se Naata, Maa Tumase Jod Lenge Ham,
Ye Maiya Meri Hai, Sabse Bol Denge Hum ॥