Kishori Kuch Aisa Intazam Ho Jaye (किशोरी कुछ ऐसा इंतजाम हो जाए - भजन)


Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye ।
Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye ।
Juba Pe Radha Radha, Radha Naam Ho Jaye ॥
Jab Girte Hue Mainne Tere Naam Liya Hai ।
To Girne Na Diya Tune, Mujhe Tham Liya Hai ॥

Tum Apne Bhakton Pe Kripa Karti Ho, Shri Radhe ।
Unko Apne Charanon Mein Jagah Deti Ho Shri Radhe ।
Tumhare Charanon Mein Mera Mukam Ho Jaye ॥

Shri Radhe Shri Radhe, Radhe Radhe Shri Radhe ।
Shri Radhe Shri Radhe, Radhe Radhe Shri Radhe ।

Maangne Wale Khali Na Lautey,
Kitni Mili Khairaat Na Puchho ।
Unki Kripa to Unki Kripa Hai,
Unki Kripa Ki Baat Na Puchho ॥

Braj Ki Raj Mein Lot Kar,
Yamuna Jal Kar Paan ।
Shri Radha Radha Ratate,
Ya Tan Son Nikle Pran ॥

Agar Tum Na Karogi to Kripa Kaun Karega ।
Agar Tum Na Sunogi to Meri Kaun Sunega ॥

॥ Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye.. ॥

Dolat Phirat Mukh Bolat Main Radhe Radhe,
Aur Jag Jalan Ke Khyalan Se Hat Re ।
Jaagat, Sovat, Pag Jovat Mein Radhe Radhe,
Rat Radhe Radhe Tyag Urte Kapat Re ॥


Laal Balbir Dhar Dhir Rat Radhe Radhe,
Hare Koti Baadhe Rat Radhe Jhatpat Re ।
Ai Re Man Mere Tu Chhod Ke Jhamele Sab,
Rat Radhe Rat Radhe Radhe Rat Re ॥

Shri Radhe Itni Kripa Tumhari Ham Pe Ho Jaye ।
Kisi Ka Naam Lun Zubzn Pe Tumhara Naam Aaye ॥

॥ Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye.. ॥

Vo Din Bhi Aaye Tere Vrindavan Aayen Hum,
Tumhare Charanon Mein Apne Sar Ko Jhukaen Hum ।
Braj Galion Mein Jhume Nache Gayen Hum,
Meri Sari Umar Vrindavan Mein Tamam Ho Jaye ॥

Vrindavan Ke Vriksh Ko,
Marm Na Jane Koi ।
Daar Daar Aur Paat Paat Mein,
Shri Shri Radhe Radhe Hoe ॥

Araman Mere Dil Ka Mita Kyun Nahin Deti,
Sarkar Vrindavan Mein Bula Kyun Nahin Leti ।
Didar Bhi Hota Rahe Har Vakt Baar Baar,
Charanon Mein Apne Hamko Bitha Kyun Nahin Leti ॥

॥ Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye.. ॥

Shri Vrindavan Vas Mile,
Ab Yahi Hamari Asha Hai ।
Yamuna Tat Chhav Kunjan Ki,
Jahan Rasikon Ka Vasa Hai ॥

Seva Kunj Manohar Nidhi Van,
Jahan Ik Ras Baro Masa Hai ।
Lalit Kishor Ab Yah Dil Bas,
Us Yugal Rup Ka Pyaasa Hai ॥

Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye ।
Kishori Kuch Aisa Intezaam Ho Jaye ।
Juba Pe Radha Radha, Radha Naam Ho Jaye ।

Kishori Is Se Bad Kar Aarzoo-e-dil Nahin Koi ।
Tumhara Naam Hai Bas Dusra Sahil Nahin Koi ।
Tumhari Yaad Mein Meri Subho Shyam Ho Jaye ॥

Yah to Bata Do Barsane Wali,
Main Kaise Tumhari Lagan Chhod Dunga ।
Teri Daya Par Yah Jivan Hai Mera,
Main Kaise Tumhari Sharan Chhod Dunga ॥

Na Puchho Kiye Mainne Aparadh Kya Kya,
Kahi Yah Jamin Aasma Hil Na Jaye ।
Jab Tak Shri Radha Raani Shama Na Karogi,
Main Kaise Tumhare Charan Chhod Dunga ॥

Bahut Thokre Kha Chuka Zindagi Mein,
Tamanna Tumhare Didaar Ki Hai ।
Jab Tak Shri Radha Rani Darsha Na Dogi,
Main Kaise Tumhara Bhajan Chhod Dunga ॥

Taro Na Taro Marzi Tumhari,
Lekin Meri Aakhari Baat Sun Lo ।
Mujh Ko Shri Radha Rani Jo Dar Se Hataya,
Tumhare Hi Dar Pe Main Dam Tod Dunga ॥

Marna Ho to Main Maru,
Shri Radhe Ke Dwar,
Kabhi to Laadli Puchhegi,
Yah Kaun Padio Darbaar ॥

Aate Bolo, Radhe Radhe,
Jaate Bolo, Radhe Radhe ।
Uthte Bolo, Radhe Radhe,
Sote Bolo, Radhe Radhe ।
Haste Bolo, Radhe Radhe,
Rote Bolo, Radhe Radhe ॥
किशोरी कुछ ऐसा इंतजाम हो जाए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
किशोरी कुछ ऐसा इंतजाम हो जाए। जुबा पे राधा राधा, राधा नाम हो जाए॥ जब गिरते हुए मैंने तेरे नाम लिया है..
Bhajan Shri Radha Rani BhajanBrij BhajanShri Radhe BhajanLadli Ji BhajanShriji BhajanRadhashtami BhajanGaurav Shastri Bhajan

Other Popular Kishori Kuch Aisa Intazam Ho Jaye Video

Kishori Kuch Aisa Intazam Ho Jaye By Jaya Kishori Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

O Shankara Mere Shiv Shankara

O Shankara Mere Shiv Shankara, Balak Main Tu Pita Hai, Tujhase Kuchh Nahi Chhipa Hai,
Shankara Bholenath Bholenath, O Shankara Mere Shiv Shankara, Balak Main Tu Pita Hai ॥

O Mera O Shankara Ho

O Mera O Shankar Ho Mann Mein Baitha Hai Tu...

Laagi Lagan Shankara

Lagi Meri Preet Tere Sang, Mere Shankara । Lagi Meri Preet Tere Sang, Mere Shankara ।

Namo Namo Shankara

Jai Ho Jai Ho Shankara, Bholenath Shankara | Aadi Dev Shankara, Hey Shivay Shankara..