Kisliye Aas Chhauden Kabhi Na Kabhi (किसलिए आस छोड़े कभी ना कभी - भजन)


Kis Liye Aas Chhode Kabhi Na Kabhi,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ।
Nath Kab Tak Rahenge Kade Ek Din,
Dekhkar Prem Ansoo Pighal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥
Sabri Kevat Jatayu Ahilyaji Ke,
Paas Pahunche Swayam Chhodkar Ke Avadh ।
Ye Hain Ghatnayen Sach to Bharosa Hamen,
Khud-ba-khud Aap Akar Ke Mil Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥

Darsh Dene Ko Raghuvar Ji Ayenge Jab,
Hum Na Manenge Apni Chalaye Bina ।
Jane Denge Na Vapis Kisi Shart Par,
Bas Kamal Pad Pakadkar Machal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥

Phir Sunayenge Khoti-khari Aapko,
Aur Puchhenge Deri Lagai Kahan?
Phir Nivedan Karenge Na Chhodo Hamen,
Prabhu Ki Joothan Prasadi Pe Pal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥

Swapn Sakar Hoga Tabhi Ram Ji,
"Jan" Pe Ho Jaye Thodi Kripa Apki ।
Poorn Kar Do Manorath Yah "Rajesh" Ka,
Jane Kab Pran Tan Se Nikal Jayenge ॥

Kisliye Aas Chhoden, Kabhi Na Kabhi,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ॥
किसलिए आस छोड़े कभी ना कभी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
किस लिए आस छोड़े कभी ना कभी, क्षण विरह के मिलन में बदल जाएंगे । नाथ कब तक रहेंगे कड़े एक दिन,
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanRajeshwaranand Ji Bhajan

Other Popular Kisliye Aas Chhauden Kabhi Na Kabhi Video

By Pujya Rajan Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jhule Palna Mein Krishna Kanhaiya

Jhule Palana Mein Krushn Kanhaiya, Badhae Baje Gokul Mein, Badhae Baje Gokul Mein,
Badhae Baje Gokul Mein, Jhule Palana Mein Krushn Kanhaiya, Badhae Baje Gokul Mein ॥

Main To Banke Dulhan Aaj Saji

Shyam Aan Baso Brundaban Main, Meri Umar Bit Gae Gokul Main, Main To Ban Ke Dulhan Aaj Saji, Bas Tum Hi Ho Mere Tan Maan main, Shyam Aan Baso Brundaban Main, Meri Umar Bit Gae Gokul Main ॥

Ab Naa Banegi Too Phir Na Banegi

Ab Naa Bani Too Fir Naa Banegi, Nar Tan Baar Baar Nahi Milta, Heera Saa Janam Kyo Virtha Gavayo..

Hame Nij Dharm Par Chalna Sikhati Roj Ramayan

Hamen Nij Dharm Par Chalna, Sikhati Roj Ramayan, Sada Shubh Aachran Karna, Sikhati Roj Ramayan ॥

Narayan Jaap

Shriman Narayan Narayan Narayan, Lakh Chaurasi Ghum Ke Tune Ye Manav Tan Paya