Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana (मैं ढूँढता तुझे था - प्रार्थना)


Main Dhundhta Tujhe Tha, Jab Kunj Aur Van Mein ।
Tu Khojta Mujhe Tha, Tab Deen Ke Sadan Mein ॥
Tu Aah Ban Kisi Ki, Mujhko Pukarta Tha ।
Main Tha Tujhe Bulata, Sangeet Mein Bhajan Mein ॥

Mere Lie Khada Tha, Dukhiyon Ke Dwar Par Tu ।
Main Baat Johata Tha, Teri Kisi Chaman Mein ॥

Bankar Kisi Ke Aansoo, Mere Lie Baha Tu ।
Ankhe Lagi Thi Meri, Tab Maan Aur Dhan Mein ॥

Baje Bajabaja Kar, Main Tha Tujhe Rijhata ।
Tab Tu Laga Hua Tha, Patiton Ke Sangathan Mein ॥

Main Tha Virakt Tujhse, Jag Ki Anityata Par ।
Utthan Bhar Raha Tha, Tab Tu Kisi Patan Mein ॥

Bebas Gire Huon Ke, Tu Beech Mein Khada Tha ।
Main Swarg Dekhta Tha, Jhukta Kahan Charan Mein ॥

Tune Diya Anekon Avsar Na Mil Saka Main ।
Tu Karm Mein Magan Tha, Main Vyast Tha Kathan Mein ॥

Tera Pata Sikandar Ko, Main Samajh Raha Tha ।
Par Tu Basa Hua Tha, Pharhad Kohkan Mein ॥

Krisas Ki Haay Mein Tha, Karta Vinod Tu Hi ।
Tu Ant Mein Hansa Tha, Mahmud Ke Rudan Mein ॥

Prahalad Janta Tha, Tera Sahi Thikana ।
Tu Hi Machal Raha Tha, Mansoor Ki Ratan Mein ॥

Akhir Chamak Pada Tu Gandhi Ki Haddiyon Mein ।
Main Tha Tujhe Samajhta, Suharab Peele Tan Mein ॥

Kaise Tujhe Milunga, Jab Bhed Is Kadar Hai ।
Hairan Hoke Bhagwan, Aaya Hoon Main Saran Mein ॥

Tu Roop Kai Kiran Mein Saundary Hai Suman Mein ।
Tu Pran Hai Pavan Mein, Vistar Hai Gagan Mein ॥

Tu Gyan Hinduon Mein, Imaan Muslimon Mein ।
Tu Prem Krishchiyan Mein, Tu Satya Hai Sujan Mein ॥

Hey Dinbandhu Aisi, Pratibha Pradan Kar Tu ।
Dekhoon Tujhe Drgon Mein, Man Mein Tatha Vachan Mein ॥

Kathinaiyon Dukhon Ka, Itihas Hi Suyash Hai ।
Mujhko Samarth Kar Tu, Bas Kasht Ke Sahan Mein ॥

Dukh Mein Na Haar Manoon, Sukh Mein Tujhe Na Bhulun ।
Aisa Prabhav Bhar De, Mere Adhir Man Mein ॥
- Ramnaresh Tripathi
मैं ढूँढता तुझे था - प्रार्थना - हिन्दी में पढ़ें
मैं ढूँढता तुझे था, जब कुंज और वन में । तू खोजता मुझे था..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan

Other Popular Mai Dhundta Tujhe Tha: Prarthana Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chandan Hai Is Desh Ki Mati

Chandan Hai Is Desh Ki Mati, Tapobhoomi Har Gram Hai . Har Bala Devi Ki Pratima, Bachcha Bachcha Ram Hai

Hamara Pyara Hindudweep

Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Ab Utho Jago Hey Aaryavir! Uttaal Prachand Samarasindhu Samip, Hey Subhat-Vikat-Vikaral-Kal, Prakhar-Prabal-Shur-Shastrapani Mahip,
Vishvahrday Yah Bharat-Bhushit, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip ॥

Vande Mataram - National Song

National Anthem - Jana Gana Mana

Bharat Hai Pehchan Meri

Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri, Duniya Mein Sabse Nyara Mujhe Desh Jaan Se Pyara Hai, Bas Hi Swarg Dwar Iske Liye To Harpal Hajir Jaan Mei, Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri ॥

Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai

Hum Haar Maan Ne Vale Insan Nahi Hai, Jo Pith Dikha Kar Bhage Vo Bejan Nahi Hai, Sur Veero Ki Bhumi Hum Jis Dhara Pe Rahte Hai, Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai ॥