Main Bhi Bolun Ram Tum Bhi Bolo Na (मैं भी बोलूं राम तुम भी बोलो ना: भजन)


Main Bhi Bolun Ram Tum Bhi Bolo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na ॥
Tu Mrityu Lok Mein Aaya,
Tune Ram Naam Nahin Gaya,
Duniya Ko Apna Banaya,
Yun Maya Mein Bharmaya,
Ab to Bolo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na,
Main Bhi Bolu Ram Tum Bhi Bolo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na ॥

Shri Ram Ki Sharan Mein Aaja,
Kyon Duniya Ke Peechhe Bhage,
Jara Baith Ke Dhyan Lagale,
Ab Sun to Le Abhage,
Dar Dar Dolo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na,
Main Bhi Bolu Ram Tum Bhi Bolo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na ॥

Tune Manushya Tan to Paya,
Vishyo Mein Yu Heen Gavaya,
Mitha Hai Yah Amrit Sa,
Santo Ne Swad Bataya,
to Rasmay Holo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na,
Main Bhi Bolu Ram Tum Bhi Bolo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na ॥

Main Bhi Bolun Ram Tum Bhi Bolo Na,
Ram Hai Anmol Mukh Ko Kholo Na ॥
मैं भी बोलूं राम तुम भी बोलो ना: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैं भी बोलूं राम तुम भी बोलो ना, राम है अनमोल मुख को खोलो ना ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Dekho Ji Jagannath Ki Rath Yatra Hai Aayi

Dhun- Mujhe Raas Aa Gaya Hai Tere Dar Pe Sar Jhukana, Dekho Ji Jagannath Ki, Rath Yatra Hai Aai। Saj-Dhaj Ke Baithe Rath Men, Ik Bahan Aru Do Bhai॥

Gajanan Ganesha Hai Gaura Ke Lala

Gajanan Ganesha Hai Gaura Ke Lala, Dayavant Ekadanta Swami Kripala ॥

Mere Man Mandir Me Tum Bhagwan Rahe

Mere Man Mandir Mein Tum Bhagwan Rahe, Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe ॥ Mere Ghar Mein Kitne Din Mehman Rahe, Mere Duhkh Se Tum Kaise Anjan Rahe..

Gajmukhdhari Jisne Tera Sachche Man Se

Gajmukh Dhari Jisne Tera, Sachche Man Se Jaap Kiya, Aise Pujari Ka Swayam Tumne, Aise Pujari Ka Swayam Tumne, Sidhd Manorath Aap Kiya, Gajmukh Dhari Jisnen Tera, Sachche Man Se Jaap Kiya ॥

Mere Bigde Bana Do Kaaj

Mere Bigde Bana Do Kaaj, O Mere Ganpati Ji Maharaj, O Mere Ganpati Ji Maharaj,
Ab Rakh Lena Meri Laaj, O Mere Ganpati Ji maharaj, Mere Bigde Bana Do Kaaj ॥