Mere Ghar Aao Laxmi Maa (घर में आओ लक्ष्मी माता - भजन)


Ghar Mein Aao Lakshmi Mata,
Aao Padharo Shri Ganraja ।
Ghar Mein Aao Lakshmi Mata,
Aao Padharo Shri Ganraja ॥
Deewali Ka Tyohaar Aaya,
Humne Ghar Ko Deepo Se Sajaya ।
Maa Mere Ghar Aana
Bhakto Ko Bhool Na Jana,
Sabke Ghar Me Charan Dhar Jana ॥

Ghar Me Aao Lakshmi Mata ।
Aao Padharo Shri Ganraja ॥

Dhan Ki Devi Sabko Daulat Deti,
Deewali Ka Uphaar Deti ।
Ho Khushiya Deti Umange Deti,
Sukho Ka Sansaar Deti ।
Maa Mere Ghar Aana
Khushiyo Se Isse Sajana ।
Paavan Bhakto Ka Ghar Kar Jana ॥

Ghar Me Aao Lakshmi Mata ।
Aao Padharo Shri Ganraja ॥

Kamla San Maa Sabme Mamta Lutati,
Deva Ganpati Hai Mangl Murti O ।
Lakshmi Maa Bhandare Bharti,
Deva Hai Kaamna Purti ।
Maa Mere Ghar Aana
Haath Jodu Bhool Na Jana ।
Khali Jholi Sabhi Ki Bhar Jana ॥

Ghar Me Aao Lakshmi Mata ।
Aao Padharo Shri Ganraja ॥

Deewali Ka Tyohaar Aaya,
Humne Ghar Ko Deepo Se Sajaya।
Maa Mere Ghar Aana
Bhakto Ko Bhool Na Jana,
Sabke Ghar Me Charan Dhar Jana ॥
घर में आओ लक्ष्मी माता - भजन - हिन्दी में पढ़ें
घर में आओ लक्ष्मी माता, आओ पधारो श्री गणराजा ॥ दीवाली का त्यौहार आया..
Bhajan Diwali Pujan BhajanLakshmi Puja BhajanGanesh Puja BhajanDiwali BhajanLaxmi Puja Maha Lakshmi BhajanAshta Lakshmi BhajanTripti Shakya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Utho Sone Walo Sabera Hua Hai

Utho Sone Walo Sabera Hua Hai । Watan Ke Phakiron Ka Phera Hua Hai ॥ Utho Ab Nirasha Nisha Kho Rahi Hai

Adiyogi The Source Of Yoga

Door us aakash ki gehraiyon mein, Ek nadi se beh rahe hain Adiyogi...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।