Ram Naam Tu Ratle Bande Jeevan Hai Ye Thoda (राम नाम तू रटले बन्दे, जीवन है ये थोडा: भजन)


Ram Naam Tu Ratle Bande,
Jeevan Hai Ye Thoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda ॥
Na Mera Na Tera Baabu,
Is Ghode Par Prabhu Ka Kaabu,
Na Mera Na Tera Baabu,
Is Ghode Par Prabhu Ka Kaabu,
Param Pita Hi Ise Chalata,
Param Pita Hi Ise Chalata,
Dikha Dikhakar Koda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda ॥

Pal Pal Beet Rahi Jindagani,
Kal Ki Chinta Karle Praani,
Pal Pal Beet Rahi Jindagani,
Kal Ki Chinta Karle Praani,
Na Jaane Kab Toot Pade,
Na Jaane Kab Toot Pade,
Mathe Par Kaal Hathoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda ॥

Daso Disao Ke Darwaje,
Kahte Roj Bajakar Baaje,
Daso Disao Ke Darwaje,
Kahate Roj Bajakar Baaje,
Bata E Duniya Wale Tune,
Bata E Duniya Wale Tune,
Kitna Punya Hai Joda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda ॥

Chal Bhi Karle Prabhu Ki Bhakti,
Bhakti Me Hai Addhbhut Shakti,
Chal Bhi Karle Prabhu Ki Bhakti,
Bhakti Me Hai Addhbhut Shakti,
Is Bhakti Ne Hai Karodo,
Is Bhakti Ne Hai Karodo,
Logo Ka Path Moda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda ॥

Ram Naam Tu Ratle Bande,
Jeevan Hai Ye Thoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda,
Dauda Jaye Re Samay Ka Ghoda ॥
राम नाम तू रटले बन्दे, जीवन है ये थोडा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम नाम तू रटले बन्दे, जीवन है ये थोडा, दौडा जाये रे समय का घोडा, दौडा जाये रे समय का घोडा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chandan Hai Is Desh Ki Mati

Chandan Hai Is Desh Ki Mati, Tapobhoomi Har Gram Hai . Har Bala Devi Ki Pratima, Bachcha Bachcha Ram Hai

Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai

Hum Haar Maan Ne Vale Insan Nahi Hai, Jo Pith Dikha Kar Bhage Vo Bejan Nahi Hai, Sur Veero Ki Bhumi Hum Jis Dhara Pe Rahte Hai, Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai ॥

Bharat Hai Pehchan Meri

Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri, Duniya Mein Sabse Nyara Mujhe Desh Jaan Se Pyara Hai, Bas Hi Swarg Dwar Iske Liye To Harpal Hajir Jaan Mei, Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri ॥

Vande Mataram - National Song

National Anthem - Jana Gana Mana

Hamara Pyara Hindudweep

Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Ab Utho Jago Hey Aaryavir! Uttaal Prachand Samarasindhu Samip, Hey Subhat-Vikat-Vikaral-Kal, Prakhar-Prabal-Shur-Shastrapani Mahip,
Vishvahrday Yah Bharat-Bhushit, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip ॥