Sharan Hanumat Ki Jo Aaya (शरण हनुमत की जो आया: भजन)


Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥
Nirbal Ke Balawan Kapi Hai,
Sab Devon Mein Mahaan Kapi Hai,
Mudhamati Ko Dete Hai Buddhi,
Gyaan Vaan Vidvaan Kapi Hai,
Daya Ka Roop Hanumat Ka,
Jagat Mein Sabase Nirala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Git Kapi Ke Jo Hai Gate,
Sradha Bhav Hai Maan Ko Bhate,
Sankat Main Jo Unhai Pukare,
Uska Shahara Ban Ke Aate,
Sabhi Ka Dhyan Jo Rakhta,
Anjani Maa Ka Laala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Ram Ki Bhakti Jo Bhi Karta,
Uske Hanuman Karta Dharta,
Krpa Se Sab Santaap Hai Mitate,
Ghar Angan Khusiyon Se Bharta,
Garibo Ka Sahara Ek,
Kapi Bajrangi Baala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥
शरण हनुमत की जो आया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
शरण हनुमत की जो आया, उसे पल में संभाला है, सामने आई जब बाधा, अंजनीसुत ने टाला है, शरण हनुमत की जों आया, उसे पल में संभाला है ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Ma Badi Dayani Hai Meri Jagdamba

Navratra Ke Din Karo Tum Pukar । Maiya Ka Jap Karlo Baar-Baar ॥ Maan Badi Dayani Hai, Meri Jagdamba । Deenon Ki Kalyani Hai, Meri Jagdamba ॥

Meri Sherawali Maa Badalti Takdire

Kabhi Jaldi Jaldi, Kabhi Dhire Dhire, Meri Sherawali Maa, Badalti Takdire ॥

Mere Sar Pe Chunariya Lehrayegi Maiya Aayegi

Mere Sar Pe Chunariya Lehrayegi, Maiya Aayegi, O Maiya Aayegi Meri, Maiya Aayegi, Khusiyon Se Holi Aaj Meri, Bharjayegi Maiya Aayegi ॥

Maiya Ji Se Hoga Milan Dheere Dheere

Lag Jaegi Lagan Dheere Dheere, Maiya Ji Se Hoga Milan Dheere Dheere, Majhaya Ji Se Hoga Milan Dheere Dheere ॥