Sharan Mein Aaye Hain Hum Tumhari (शरण में आये हैं हम तुम्हारी - भजन)


Sharan mein aye hain ham tumhari, daya karo hey dayalu bhagawan।
Samhalo bigadi dasha hamari, daya karo hey dayalu bhagawan।
Na ham mein bal hai, na ham mein shakti।
Na ham mein sadhan, na ham mein bhakti।
Tumhare dar ke hain ham bhikhari, daya karo hey dayalu bhagawan।
Sharan mein aye hain ham tumhari, daya karo hey dayalu bhagawan।

Pradan kar do mahan shakti, bharo hamare mein gyaan bhakti।
Tabhi kahaoge taap haari, daya karo hey dayalu bhagawan।
Sharan mein aye hain ham tumhari, daya karo hey dayalu bhagawan।

Jo tum pita ho, to ham hain balak।
Jo tum ho swami, to ham hain sewak।
Jo tum ho thakur, to ham pujari।
Daya karo hey dayalu bhagawan।
Sharan mein aye hain ham tumhari, daya karo hey dayalu bhagawan।

Bhale jo hain ham, to hain tumhare।
Bure jo hain ham, to hain tumhare।
Tumhare ho kar bhi ham dukhari।
Daya karo hey dayalu bhagawan।
Sharan mein aye hain ham tumhari, daya karo hey dayalu bhagawan।

Sharan mein aye hain ham tumhari, daya karo hey dayalu bhagawan।
Samhalo bigadi dasha hamari, daya karo hey dayalu bhagawan।
शरण में आये हैं हम तुम्हारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शरण में आये हैं हम तुम्हारी, दया करो हे दयालु भगवन। सम्हालो बिगड़ी दशा हमारी..
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara

Shankar Teri Jata Se, Bahati Hai Gang Dhara Kali Ghata Mein Chamke, Jaise Koi Sitara ।

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me, Tera Dam Dam Damaroo Bole Sare Jahan Mein॥ Sun Damaroo Ki..

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo, Ghat Bhar Ke Ganga Jai Se Kavad Liye Bharo,
Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo ॥

Baba Nene Chaliyo Hamaro Apan Nagari

Auro Baharab Ahan Ke Dehari Baba, Auro Baharab Ahan Ke Dehari, Baba Nene Chaliyau Hamaro Apan Nagari..

Meri Laaj Rakhna Bhole Meri Laaj Rakhna

Meri Laaj Rakhna, Tere Dware Aaya Mein Baba, Teri Sharan Mein aaya Mein Baba, Meri Laaj Rakhna Meri Laaj Rakhna ॥