Shree Ram Bhakt Bajrangi Tere Khel Hai Ajab Nirale (श्री राम भक्त बजरंगी, तेरे खेल है अजब निराले: भजन)


Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale,
Prabhu Ki Sewa Main Tumne,
Prabhu Ki Sewa Main Tumne,
Kitne Hi Kaaj Saware,
Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥
Sagar Tat Par Baithe Wo Nar,
Bhalu Sab Ghabrakar,
Maar Chalang Gaye Lanka Main,
Lanka Aap Jalakar,
Sita Ka Sandesa Lakar,
Sita Ka Sandesa Lakar,
Raghubar Ko Sunane Wale,
Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥

Hua Na Hoga Inke Jesa,
Ram Bhakt Koi Duja,
Inke Hi Rakhyak Ban Jate,
Jo kare Ram Ki Puja,
Is 'Amar' Ke Dukh Ko Harlo,
Is 'Amar' Ke Dukh Ko Harlo,
Sabke Dukh Harne Wale,
Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥

Lakshman Ko Murchhit Dekha,
Tab Ram Bahut Ghabarae,
Suraj Ugane Se Pahale,
Sanjeevani Buti Laye,
Tum Hi To Ho Lakshman Ko,
Tum Hi To Ho Lakshman Ko,
Nav Jeevan Dene Wale,
Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥

Ahiravan Ram Lakhan Ko,
Chhal Se Le Gaya Uthaakar,
Tum Ram Lakhan Ko Laye,
Ahiravan Mara Jakar,
Ho Ajar Amar Bajarangee,
Ho Ajar Amar Bajarangee,
Tum Sankat Harane Vale,
Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥

Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale,
Prabhu Ki Sewa Main Tumne,
Prabhu Ki Sewa Main Tumne,
Kitne Hi Kaaj Saware,
Shree Ram Bhakt Bajarangi,
Tere Khel Hai Ajab Nirale ॥
श्री राम भक्त बजरंगी, तेरे खेल है अजब निराले: भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्री राम भक्त बजरंगी, तेरे खेल है अजब निराले, प्रभु की सेवा में तुमने, प्रभु की सेवा में तुमने, कितने ही काज सँवारे, श्रीं राम भक्त बजरंगी, तेरे खेल है अजब निराले ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..