Shyam Ke Bina Tum Aadhi (श्याम के बिना तुम आधी - भजन)


Shyam Ke Bina Tum Aadhi,
Tumhare Bina Shyam Aadhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Aatho Pahar Jo Rahe Ang Sang,
Us Sanware Ki Ek Jhalak,
Dikhla De,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe ॥
Main to Sanware Ke Rang Me Raaji,
Baandh Ghunghroo Bhi Pag Me Naachi,
Kaiso Nishthur Bhayo Yashoda Ka Lala,
Baat Mere Hriday Ki Na Maani,
Apno Ke Sang Yoon Karte Nahin,
Sanware Ko Nek* Samjha De,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe ॥

Chhavi Shyam Ki Basai Lai Chit Me,
Khadi Baat Niharoo Nit-nit Main,
Shyam Ke Bina Mujhe Kuchh Nahin Sujhe,
Shyam Ke Bina Jau Kit Main,
Kaise Bujhe Pyas Naino Ki,
Rasta Koi to Dikhla De,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe ॥

Kahi Keshav Kahi Pe Kanhaiya,
Kahi Natwar Raas Rachaiya,
Meri Bhi Naiyya Atki Bhanwar Me,
Paar Kar Dena Banke Khivaiya,
Vinti Meri Bhi Itti** Si,
Bansi Bajaiya Tak Pahuncha De,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe ॥

Shyam Ke Bina Tum Aadhi,
Tumhare Bina Shyam Aadhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe ॥

Aatho Pahar Jo Rahe Ang Sang,
Us Sanware Ki Ek Jhalak,
Dikhala De,
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe ॥
Radhe Radhe Radhe Radhe,
Radhe Radhe Radhe Radhe ॥

* Nek: Thoda
** Itti: Itni
श्याम के बिना तुम आधी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्याम के बिना तुम आधी, तुम्हारे बिना श्याम आधे, राधे राधे राधे राधे, ..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanShri Radha Krishna BhajanShri Radha Rani BhajanLakhbir Singh BhajanLakha Bhajan

Other Popular Shyam Ke Bina Tum Aadhi Video

Shyam Ke Bina Tum Aadhi By Ram Kumar Lakkha From Chanda Cassettes

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Teri Jai Ho Ganesh

Teri Jai Ho Ganesh, Kis Janani Ne Tujhe Janam Diyo Hai..

Gajanand Bega Aao Saath Riddhi Siddhi Ne Lavo

Aao Gajanand Pyara, Bega Padharo Ganpati Ji, Dundala, Sundala, Gajanand Bega Aao, Sath Riddhi Siddhi Ne Lyao, Gajanand Bega Aao, Sath Riddhi Siddhi Ne Lyao ॥

Aaye Hai Ganesh Bappa Aaj More Angana

Aaye Hai Ganesh Bappa, Aaj More Angana, Aaj More Angana, Ji Aaye More Angana, Aaye Hain Ganesh Bappa, Aaj More Angana ॥

Maine Mann Ko Mandir Banaya

Maine Mann Ko Mandir Banaya, O Gauri Maiya Ke Laala, Teri Murat Ko Usne Sajaya, O Gauri Maiya Ke Laala, O Gauri Maiya Ke Laala ॥