Shyama Tere Charno Ki, Gar Dhool Jo Mil Jaye (श्यामा तेरे चरणों की, गर धूल जो मिल जाए - भजन)


Shyama Tere Charno Ki,
Radhe Tere Charno Ki,
Gar Dhool Jo Mil Jaye ।
Sach Kahta Hoon Meri
Takadir Badal Jaye ॥
Shyama Tere Charno Ki,
Radhe Tere Charno Ki

Sunta Hoon Teri Rahmat,
Din Raat Barasti Hai ।
Ek Boond Jo Mil Jaye,
Dil Ki Kali Khil Jaye ॥

Shyama Tere Charno Ki,
Radhe Tere Charno Ki

Yah Man Bada Chanchal Hai,
Kaise Tera Bhajan Karoon ।
Jitna Ise Samjhaun,
Utna Hi Machal Jaye ॥

Shyama Tere Charno Ki,
Radhe Tere Charno Ki

Najron Se Girana Na,
Chahe Jitni Saja Dena ।
Najron Se Jo Gir Jaye,
Mushkil Hi Sambhal Paye ॥

Shyama Tere Charno Ki,
Radhe Tere Charno Ki

Shyama Iss Jeevan Ki
Bas Ek Tamanna Hai ।
Tum Samne Ho Mere Aur
Pran Nikal Jaye ॥

Shyama Tere Charno Ki,
Radhe Tere Charno Ki,
Gar Dhool Jo Mil Jaye ।
Sach Kahta Hoon Meri
Takdeer Badal Jaye ॥
श्यामा तेरे चरणों की, गर धूल जो मिल जाए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्यामा तेरे चरणों की, राधे तेरे चरणों की, गर धूल जो मिल जाए। सच कहता हूँ मेरी...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami Bhajan

Other Popular Shyama Tere Charno Ki, Gar Dhool Jo Mil Jaye Video

By Shruti Dubey

By Chintu Sewak

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Diyan Boliyan

Pheeta Pheeta Pheeta,,, Jay Ho! O Hi Log Tar Jaate,,, Jay Ho! Jinhonne, Mata Ka Darshan Kiya।

Dularva Laika Jas Geet

Mahu La to Thokalin Tai Dulaar Vo.. Dai, Mahoo Tor Dularava Laika Taav ll Bhakti Bhajan La Tor Gaav Vo Ho....Dai ll

Angana Padharo Maharani

Angna Padharo Maharani, Mori Sharda Bhawani, Sharda Bhawani Mori, Sharda Bhawani...

Chal Mere Nal Tenu Len Aye Aa

Gal Dil Wali Tenu Mai Kehan Aaye Aa, Chal Mere Naal Tenu Len Aaye Aa