Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai (तेरे दरबार मे मैया खुशी मिलती है - भजन)


Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein,
Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥
Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,
Zindgi Milti Hai Roton Ko Hansi Milti Hai ॥
Ik Ajab Si Masti Tan Man Pe Chhati Hai,
Har Ik Juban Tere O Maiya Geet Gati Hai,
Bajte Sitaron Se Meethi Pukaro Se,
Goonje Jahan Sara Tere Unche Jaykaro Se,
Masti Mein Jhoome Tera Dar Choome,
Tere Chaaro Taraph Duniya Ye Ghume,
Aisi Masti Bhi Bhala Kya Kaheen Milti Hai,
Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥

Meru Sheron Wali Maa Teri Har Baat Achchhi Hai,
Karni Ki Poori Hai Mata Meri Sachchi Hai,
Sukh-dukh Bantati Hai Apna Banati Hai,
Mushkil Mein Bachche Ko Maa Hi Kaam Aati Hai,
Raksha Karti Hai Bhakt Apane Ki,
Baat Sachchee Karatee Unake Sapano Kee,
Saari Duniya Ki Daulat Yahi Milti Hai,
Tere Dar Baar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥

Rota Hua Aaye Jo Hansta Hua Jata Hai,
Man Ki Murado Ko Vo Pata Hua Jata Hai,
Kismat Ke Maaro Ko Rogi Beemaron Ko,
Karde Bhala Changa Meri Maa Apne Dularau Ko,
Paap Kat Jaye Charan Chhoone Se,
Mahakti Hai Duniya Maa Dhune Se,
Phir to Maa Aisi Kabhi Kya Kaheen Milti Hai,
Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai ॥
Navratri 2024 Dates
Date Tithi Navratri Devi Name Color
3 October Partipada Navratri Vrat Begins, Ghatasthapana, Mata Shailputri Puja, Agrasen Jayanti Yellow
4 October Dwitiya Mata Brahmacharini Puja Green
5 October Tritiya Sindoor Tritiya, Mata Chandraghanta Puja Grey
6 October Tritiya - Orange
7 October Chaturthi Mata Kushmanda Puja White
8 October Panchami Mata Skanda Mata Puja, Lalita Panchami | Durga Puja (Bilva Nimantran) Red
9 October Sashti Mata Katyayani Puja | Durga Puja (Kalparambha, Akal Bodhon) Royal Blue
10 October Saptami Mata Kalaratri Puja, Saraswati Puja | Durga Puja (Kalparambha, Akal Bodhon) Pink
11 October Ashtami Mata Maha Gauri Puja, Mata Siddhidatri Puja | Durga Puja (Durga Ashtami, Kumari Puja, Sandhi Puja, Maha Navami) Purple
12 October Navami Vijayadashami, Navratri Vrat Ends | Durga Puja (Maha Navami, Durga Balidan, Navami Homa, Durga Visarjan) -
13 October Dashami | Durga Puja (Bengal Vijayadashami, Bengal Durga Visarjan, Sindoor Utsav) -
तेरे दरबार मे मैया खुशी मिलती है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरी छाया मे, तेरे चरणों मे, मगन हो बैठूं, तेरे भक्तो मे॥ तेरे दरबार मे मैया खुशी मिलती है...
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanLakha Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Ganesh Gauri Nandan

Jai Ganesh Gauri nandan Din Ke Dayala, Bhakton Ke Antar Mein Kijiye Ujala, Jai Ganesh Gauri Nandan ॥

Gajanan Charan Kamal Raj Dije

Tumhari Krupa Milat Avinashi, Bhav Bandhan Kat Jasi, Jag Mein Nahin Hai Sahara Jinako, Unako Sahara Dije, Gajanan Charan Kamal Raj Dije ॥

Ganpati Karte Charno Mein Hum Hai Naman

Ganpati Karte Charno Mein Hum Hai Naman, Kare Pooja Tumhari Sab Hoke Magan, Shiv Gaura Ke Laal Ko Dhyate Hai Hum, Hey Ganpati Tumko Manate Hai Hum, Ganpati Karate Charano Mein Hum Hai naman,
Kare Pooja Tumhari Sab Ho Ke Magan ॥

Sabse Pahle Manaba Thane Deva Ra Sardar

Sabse Pahle Manaba, Thane Deva Ra Sardar, Ranat Bhavan Su Aap Padharo, Ho rahi Jay Jayakar, Sabasu Pahala Manawa, Thaane Deva Ra Saradar ॥

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..